Raatain Bhi Madine Ki Baatain Bhi Madine Ki [Naat Lyrics]
راتیں بھی مدینے کی باتیں بھی مدینے کی
Raatain Bhi Madine Ki Baatain Bhi Madine Ki
Raatain Bhi Madine Ki, Baatain Bhi Madine Ki
Jeenay Mein Ye Jeena Hai, Kya Baat Hai Jeenay Ki
راتیں بھی مدینے کی باتیں بھی مدینے کی
جینے میں یہ جینا ھے کیا بات ھے جینے کی
Arsa Hua Tayyiba Ki Galiyon Se Woh Guzre Hain
Iss Waqt Bhi Galiyon Mein Khushboo Hai Paseenay Ki
عرصہ ھوا طیبہ کی گلیوں سے وہ گزرے ھیں
اس وقت بھی گلیوں میں خوشبو ھے پسینے کی
Ye Zakhm Hai Tayyiba Ka, Ye Sab Ko Nahin Milta
Koshish Na Kare Koi, Is Zakhm Ko Seenay Ki
یہ زخم ھے طیبہ کا یہ سب کو نہیں ملتا
کوشش نہ کرے کوئی اس زخم کو سینے کی
Tareef Ke Laiq Jab Alfaaz Nahin Miltay
Tareef Kare Koi, Kis Tarah Madine Ki
تعریف کے لائق جب الفاظ نھیں ملتے
تعریف کرے کوئی کس طرح مدینے کی
Ye Apni Nigaahon Se Mastana Banate Hain
Mastana Banate Hain, Deewana Banate Hain
Zahmat Hi Nahin Detay Maikhwar Ko Peenay Ki
یہ اپنی نگاھوں سے مستانہ بناتے ھیں
مستانہ بناتے ھیں دیوانہ بناتے ھیں
زحمت ھی نھیں دیتے میخوار کو پینے کی
Har Saal Bulatay Hain Mirza Ko Madine Mein
Sarkar Jagatay Hain Taqdeer Kameenay Ki
ھر سال بلاتے ھیں مرزا کو مدینے میں
سرکار جگاتے ھیں تقدیر کمینے کی
Read More:
- Jaan Haazir Hai Mustafa ﷺ Ke Liye [Naat Lyrics]
- Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Lyrics
- Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
- Sochta Hoon Mai Woh Ghadi Kya Ajab