Naat Lyrics

Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera – Naat Lyrics

Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera
Ho Jo Haatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera
Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Meiñ Ye Rutba Tera

Wah Kya Jood o Karam Hai Shah-e Bat’ha Tera
Nahiñ Sunta Hi Nahiñ Mangne Wala Tera.

Ilm Aisa bhi na de khud ko kahuñ un jaisa
Isse behtar mere maula mujhe jaahil kar de

Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaaneñ
Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaaneñ
Inki Auqaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaaneñ

Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaaneñ
Kusrawa Arsh Pe UDtaa Hai Pharera Tera.

Jo Tasavvur Mein Tera Paikar e Zaiba Dekheñ
Ru-e Washshams Takeiñ, Matla-‘e Seema Dekheñ
Kyuñ Bhala Ab Woh Kisi Aur Ka Chehra Dekhen

Tere Qadmoñ Mein Pale Ghair Ka Muh Kya Dekheñ
Kaun Nazron Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera

Muft paala tha kabhi kaam ki aadat Na padi
Ab amal poochhte hain, haaye nikamma tera

Teri nisbat se hai tauqeer meri logoñ meiñ
Tu alag ho to meri zaat me kuchh bhi nahin

Mujh Se Naa Cheez Pe Hai Teri Inaayat Kitni
Tune Har Gaam Ki Meri Himaayat Kitni
Kya Batauñ Teri Rahmat Meiñ Hai Wusat Kitni

Ek Main Kya Mere Isiyaañ Ki Haqeeqat Kitni
Mujhe Se Sau Laakh Ko Kaafi Hai Ishaara Tera

Tumhara naam musibat mein jab liya hoga
Hamara bigda hua kaam ban gaya hoga

Kahenge aur nabi izhabu ila ghairi
Mere Huzur ke lab par ana laha hoga

Mujhe Se Sau Laakh Ko Kaafi Hai Ishaara Tera

Mere jad bhi unke ghulaam the
Main bhi unke dar ka ghulaam hooñ

Kai Pushtoñ Se Ghulami Ka Ye Rishta Hai Bahaal
Yahiñ Tifli o Jawaani Ke Guzaare Maho-Saal
Ab Budhape Meiñ Khudara Hume Yuñ Dar Se Na Taal

Tere Tukdoñ Pe Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaayeñ Kaha Chhod Ke Sadqa Tera

Gham-e Daurañ Se Jo Ghabraiye, Kisse Kahiye
Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye

Kiska Muh Takiye, Kahañ Jaaiye, Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jaaye Ye Paala Tera

Nazr-e Ushshaq-e Nabi Hai Ye Mera Harf-e Ghareeb
Mimbar-e-Waaz Pe Ladte Rahe Aapas Mein Khateeb
Ye Aqeeda Rahe Allah Kare Mujh Ko Naseeb

Maiñ To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Yani Mehboob o Muhib Me Nahiñ Mera Tera.

Tujh Se Har Chand Woh Hai Qadr o Fazaail Me Rafee’
Kar Naseer Aaj Magar Fikre Raza Ki Tausee’
Paas Hai Uske Shafa’at Ka Waseela Bhi Waqee’

Teri Sarkar Meiñ Laata Hai Raza Usko Shafee’
Wo Mera Gaus Hai Aur Laadla Beta Tera

Waah kya martba ay ghaus hai baala tera
Oonche oonchoñ ke saroñ se qadam aala Tera
Kya dabe jispe himaayat ka ho panja tera
Sher ko khatre mein laata nahin kutta tera

 

Read More:

Lyrics Source: sufilyrics.live

 

Koi Duniya e Ata Main Nahi Hamta Tera – Zohaib Ashrafi 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee