Naat LyricsRamadan
Khushiyon Ki Baharein Laya Ramzan Mubarak Aaya – Lyrics in Urdu
Khushiyon Ki Baharein Laya Ramzan Mubarak Aaya
Khushiyon ki baharein laya Ramzan Mubarak aaya
Dil jhoom mera gaya Ramzan Mubarak aaya
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam

Quran ki tilawat hogi bharpoor ibadat hogi
Quran ka tohfa laya Ramzaan Mubarak aaya
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Saheri ki ajab rahat hai iftar meh woh raunak hai
Ik kaif ajab hai chhaya Ramzaan Mubarak aaya
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Roze ki yeh lazzat dekho na pyas ki shiddat hai woh
Kya sabr hai hum ne paya Ramzan Mubarak aya
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Ramzan toh hai uski ho sath me ma jiski
”Turkee” ne toh ashk bahaya jab Ramzan Mubarak aya
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Ramzan Assalam Ramzan Assalam Ramzan Assalam
Allah meri Ma ko Ramzan ke sadqe me
Sab maf gunah karde Jannat bhi ata karde
Zahra ka mile saya Ramzan Mubarak aya
Khushiyon ki baharein laya Ramzan Mubarak aya
Dil jhoom mera gaya Ramzan Mubarak aya