Naat Lyrics

Jab Husan Tha Unka Jalwa Numa – Naat Lyrics in Urdu

Jab Husan Tha Unka Jalwa Numa (Lyrics)

Jab Husn Tha Un Ka Jalwa Numa Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Har Koi Fida Hai Ban Dekhe To Deedaar Ka Aalam Kya Hoga

Qadmon Mein Jabeen Ko Rehne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Barh Kar Edi Hai To Rukhsaar Ka Aalam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar Siddiq Idhar Usman Idhar
In Jagmag Jagmag Taron Mein Mahtaab Ka Aalam Kya Hoga

Jis Waqt The Khidmat Mein Un Ki Abu Bakr-O-Umar Usman-O-Ali
Us Waqt Rasool-e-Akram Ke Darbaar Ka Aalam Kya Hoga

Chahen To Ishaaron Se Apne Kaya Hi Palat Dein Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Un Ke Ghulaamon Ki To Sarkar Ka Aalam Kya Hoga

Kehte Hain Arab Ke Zarrron Par Anwaar Ki Baarish Hoti Hai
Ae Najm Na Jane Taybah Ke Gulzaar Ka Aalam Kya Hoga

 

Jab Husan Tha Unka Jalwa Numa
Naat Lyrics in Urdu

 

جب حسن تھا ان کا جلوہ نما انوار کا عالم کیا ہوگا
ہر کوئی فدا ہے بن دیکھے تو دیدار کا عالم کیا ہوگا

قدموں میں جبیں کو رھنے دو چہرے کا تصور مشکل ھے
جب چاند سے بڑھ کر ایڑی ھے تو رخسار کا عالم کیا ھوگا

اک سمت علیؓ اک سمت عمرؓ صدیقؓ اِدھر عثمانؓ ادھر
ان جگمگ جگمگ تاروں میں ماہتاب کا عالم کیا ہو گا

ؓجس وقت تھے خدمت میں ان کی ابو بکرؓ و عمرؓ عثمانؓ و علی
اس وقت رسول اکرم کے دربار کا عالم کیا ہوگا

چاہیں تو اشاروں سے اپنے کایا ہی پلٹ دیں دنیا کی
یہ شان ہے ان کے غلاموں کی تو سرکار کا عالم ہو گا

کہتے ہیں عرب کے ذروں پر انوار کی بارش ہوتی ہے
اے نجم نہ جانے طیبہ کے گلزار کا عالم کیا ہوا

Read More:

Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Sochta Hoon Mai Woh Ghadi Kya Ajab | Naat Lyrics
Rahman Ya Rahman – Lyrics & Translation | رحمن يا رحمن

 

Follow Us On:
Pinterest |  Twitter

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
10 Easy Ways To Ask for Forgiveness 20 Best Times For Dua 🤲 Huge Rewards In Just 2 Minutes. RECITE THIS AFTER SALAH 7 WAYS TO INCREASE RIZQ Wipe Away Major And Minor Sins. Inspirational Islamic Quotes for Daily Life! Friendship Quotes for Muslims – Islamic Friendship Quotes [Web Story] Takbir Al Tashreeq – اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ Talbiyah: Labaik Allahumma Labbaik | لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ