AAYA RAMZAN KA MAHINA QAFILA CHALA SUE E MADINA – LYRICS
AAYA RAMZAN KA MAHINA QAFILA CHALA SUE E MADINA
AAYA RAMZAN KA MAHINA QAFILA CHALA SUE E MADINA
MUJHE BHI DO IZN-E-MADINA AANE KI SARKARE MADINA
MUJHE NA AAYA BULAWA KITNI HAI DIL ME TAMANNA
KASH AQA MAI BHI DEKH LETA BAHAR-E-RAMZAAN-E-MADINA
MERI QISMAT KO BHI KHUDARA TUM SAJANA
HASNAIN KE SADQE ME DIKHANA BAAR BAAR MADINA
KAHAAN JAUN KAHAAN DAMAN PASAROON MAI MALIK-E-MADINA
AAS LAGAI HAMNE TUMHARE DAR SE AE SHAHINSHA-E-MADINA
KAHEEN AISA NA HO SEENE ME DAFN KARKE GHAM-E-MADINA
MAI DUNIYA SE CHALA JAON BIN DEED KE MADINA
GHAMAUN KE SAILAB ME DOOBA JARAHA HOON SULTAN-E-MADINA
LILLAH IMDAD KO AAO MERI SARWAR-E-MADINA
ISS SAAL ZAROOR MUJH AASI KO SARKAR BULANA
RAUDA-E-ANWAR AUR GUMBADE KHIZRA DIKHANA
CHAMKA KAR MERI AANKHAUN KO JALWA DIKHA DENA
DEKH LOON AANKH BHARKE TUM KO SHAHE MADINA
DUNIYA KI MOHABBAT DIL SE NIKAL JAE AQA-E-MADINA
RAHE CHASHM-E-NAM DIL ME BAS GHAM-E-MADINA
MAANA KE NAHI QABIL HOON JO DEKHOON TUMHARA MADINA
PHIR LAOON KAHAAN SE WO AAMAL MAI SARKAR-E-MADINA
NAHI JABER KE PAAS KOI ZAR JO DEKHE PYARA MADINA
ITNA TO HO KARAM KHABAUN ME ISE DIKHADO MADINA
Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai – Naat Lyrics – Yousuf Memon
Aisa Koi Mehboob Na Hoga Na Kahin Hai – Naat Lyrics