Naat Lyrics

Yaad Mein Jiski Nahin Hosh-e-Tan o Jaan Humko

Yaad Mein Jiski Nahin Hosh-e-Tan o Jaan Humko – Ala-Hazrat Naat Lyrics in Urdu

Yaad Mein Jiski Nahin Hosh-e-Tan o Jaan Humko
phir dikha de wo rukh ay mahr-e-farozaN humko

 

deyr se aap meiN aana nahiN milta hai humain
kya hi khud rafta kiyaa jalwa-e-jaanaan humko

jis tabassum ne gulistaaN pe giraayi bijli
phir dikha de wo adaa-e-gul-e-khandan humko

kaash aawiza-e-qindeel-e-madina ho wo dil
jiski sozish ne kiyaa rashk-e-charaaghan humko

`arsh jis khubi-e-raftaar ka paamaal huwa
do qadam chal ke dikha sarw-e-khiraaman humko

khawf hai sam`a kharaashi-e-sag-e-Tayba kaa
warna kyaa yaad nahin naala O afghaan humko

khaak ho jaayeN dar-e-paak pe hasrat mit’jaay
yaa ilaahi na phiraa be sar O saaman humko

khaar-e-Sahray-e-madinah na nikal jaaye kahin
waHshat-e-dil na phiraa koh o bayaaban humko

tang aaye haiN do aalam teri betaabi sey
cheyn lene de tap-e-seena-e-sozan humko

paaon ghirbaal huwe raah-e-madinah na mili
ay junuN ab to mile rukhsat-e-zindaan humko

mere har zakhm-e-jigar se yahi aati hai Sadaa
ay maleeH-e-`arabi kar de namak daan humko

sayr gulshan se aseeran-e-qafas ko kyaa kaam
na dey takleef-e-chaman bulbul-e-bustaan humko

sham`a-e-Tayba se maiN parwaana raHun kab tak duur
haan jalaa de sharar-e-aatash-e-pinhaan humko

jab se aankhoN meiN samayi hai madiney ki bahaar
nazar aate haiN khazaaN deeda gulistan humko

gar lab-e-paak se iqraar-e-shafa`at ho jaay
yun na beycheyn rakhe joshis-e-`iSyaan humko

nayyir-e-Hashr ne ik aag lagaa rakhi hai
tez hai dhuup miley saaya-e-daamaaN humko

raHm farmayiye yaa shaah ke ab taab nahiN
taa bake khuun rulaye gham-e-hijraaN humko

chaak daamaN pe na thak jayiyo ay dast-e-junun
purze karnaa hai abhi jayb o gariybaN humko

parda us chahra-e-anwar se uTha kar ik baar
apna aayina banaa ay mah-e-taabaan humko

ay raza waSf-e-rukh-e-paak sunaa ne ke liye
nazr dete haiN chaman murgh-e-ghazal khwaan humko

Yaad Mein Jiski Nahin Hosh-e-Tan o Jaan Humko

KALAM-E-ALA-HAZRAT IMAM AHMAD RAZA KHAN BRELVI

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button