Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi
Do Jahan Ki Behtariyaan Nahi Ke Amaani e Dil o Jaan Nahi
Kaho Kya Hai Jo Yahan Nahi Magar Ek ‘Nahi’ Ke Woh Han Nahi
Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Youn Toh Kis Ko Zuban Nahi
Woh Sukhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Woh Bayaan Hai Jiska Bayaan Nahi
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi
BaKhuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahi Toh Wahan Nahi
Kare Mustafa ﷺ Ki Ahanatein Khule Bando Uspe Ye Jur’atein
Ke Main Kya Nahi Hoon Muhammadi! Are Han Nahi Are Han Nahi
Tere Aage Youn Hain Dabe Lache Fusaha Arab Ke Bade Bade
Koi Jaane Munh Me Zubaan Nahi, Nahi Balke Jism Me Jaan Nahi
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi
Woh Sharaf Ke Qat’aa Hain Nisbatein Woh Karam Ke Sab Se Kareeb Hain
Koi Kehd o Yaas o Ummeed Se Woh Kahin Nahi Woh Kahaan Nahi
Ye Nahi Ke Khuld Na Ho Niko Woh Nikoyi Ki Bhi Hai Aabru
Magar Ae Madine Ki Aarzu Jise Chahe Tu Woh Samaan Nahi
Hai Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hai Unhi Ke Jalwe Me Sab Nihaan
Bane Subha Tabish Mehr Se Rahe Pesh Mehr Yeh Jaan Nahi
Read More:
- LAM YA’ATI NAZEERU KAFI NAZARIN
- WOH SUEY LA LAZAAR PHIRTEY HAIN
- NAIMATAIN BAANT’TA JIS SIMT WO ZEESHAN GAYA
- SUBHA TAIBAH ME HUI BAT’TA HAIN BAADA NOOR KA
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi
Wahi Noor e Haq Wahi Zille Rab Hai Unhi Se Sab Hai Unhi Ka Sab
Nahi Unke Milk Me Asman Ke Zameen Nahi Ke Zamaan Nahi
Wahi LaMakaan Ke Makeen Huye Sar e Arsh Takht Nasheen Huye
Woh Nabi Hai Jiske Hain Yeh Makaan Woh Khuda Hai Jiska Makaan Nahi
Sar e Arsh Par Hai Teri Guzar Dil e Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot o Mulk Me Koi Shay Nahi Woh Jo Tujh Pe Ayaan Nahi
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi
Karoon Tere Naam Pe Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jahan Fida
Do Jahan Se Bhi Nahi Ji Bhara Karoon Kya Karodon Jahan Nahi
Tera Qad Toh Nadir e Deher Hai Koi Misl Ho Toh Misaal De
Nahi Gul Ke Paodon Me Daliyaan Ke Chaman Me Sar o Chamaan Nahi
Nahi Jiske Rang Ka Dusra Na Toh Ho Koi Na Kabhi Hua
Kaho Isko Gul Kahe Kya Koi Ke Gulon Ka Dher Kahaan Nahi
Karoon Mad’aa Ahl e Duwal Raza Pade Is Bala Me Meri Bala
Main Gada Hoon Apne Kareem Ka Mera Deen Parah e Naan Nahi
Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi