Manqabat

Shah Ast Hussain (A.S), Badshaah Ast Hussain (A.S)

Shah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s) – Lyrics in Urdu

Shah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s), Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Sar Daad Na Daad Dast Dar Dast-E-Yazeed
Haqqa Ke Bina La Illah Ast Hussain (a.s)

Sardaaro Shehenshaah Ay Shaahe Shaheedan,
Qaari Sare Naiza Ay Waarise Quran
Kehti Hain Namazein Ab Tak Sare Maidaan
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Shah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s), Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Azan O Namaaze Milad-E-Mohammed (s.a.w.w),
Ye Majlis-O-Matam Abbas (a.s) Ka Parcham
Kehti Hain Sabilein Kehta Hai Muharram
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Akbar (a.s) Ka Kaleja Halq-E-Ali Asgher (a.s),
Abbas (a.s) Ke Baazu Zainab (s.a) Ka Khula Sar
Kehte Hain Ye Tujhse Ay Shaam Ke Lashkar
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Shah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s), Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Marqad Se Nikal Kar Khud Fatema Zahra (s.a),
Maqtal Ki Zameen Par Deti Rahi Pehra
Khanjar Se Sina Se Kehti Rahi Zahra (s.a)
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Zanjeer-E-Sitam Ne Rasta Nahi Roka,
Pehne Huwi Bairi Chalte Rahe Mawla
Kehta Hai Abhi Tak Sajjad (s.a) Ka Sajda
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Shaah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s), Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Adaa Ke Tamache Rukhsaare Sakeena (a.s),
Jalta Huwa Damaan Garmi Ka Mahina
Kehti Thi Phuphi (s.a) Se Har Aik Se Kehna
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Beemare Madina Woh Fatema Sughra (s.a),
Darwaaze Pe Baithi Takti Hai Jo Rasta
Khud Ko Yehi Kehkar Deti Hai Dilasa
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Shah Ast Hussain (a.s), Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s), Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Sarwar Sare Majlis Zikre Shahe Waala,
Rehan Musalsal Is Gham Ka Hawala
Dorahta Hai Har Dam Tareekh Ka Jumla
Suno Zindaa Hai Hussain (a.s)

Shaah Ast Hussain (a.s),
Badshaah Ast Hussain (a.s),
Deen Ast Hussain (a.s),
Deen Panah Ast Hussain (a.s)

Sar Daad Na Daad Dast Dar Dast Yazeed
Haqqa Ke Bina La Illaaha Ast Hussain (a.s)

Source: Shah Astt Hussain – Nadeem Sarwar lyrics

Read More Lyrics:

Related Articles

Average Rating

5 Star
0%
4 Star
0%
3 Star
0%
2 Star
0%
1 Star
0%

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button