Naat Lyrics

Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain (Lyrics)

Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain – Lyrics

 

Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
Mustafa ﷺ Ghulamo Ki Qismatain Badal’te Hain

Rehmato Ke Badal Ke Saaye Saath Chalte Hain
Mustafa ﷺ Ke Deewane, Ghar Se Jab Nikalte Hain

Humko Roz Milta Hai Sadqa Pyare Aaqa Ka
Unke Dar Ke Tukdo Par Hum Jaise Khush Naseeb Palte Hain

Aamina Ke Pyare Ka, Sabz Gumbad Waale Ka
Jashn Hum Manate Jalne Waale Jalte Hain

Sirf Saari Duniya Me, Wo Taiba Ki Galiyaan Hain
Jis Jagah Pe Hum Jaise, Khote Sikke Chalte Hain

Naqsh Kar Le Seene Par Naam-e-Sarwar-e-Deen Ka
Yeh Woh Naam Hai Jis Se Sab Azaab Taltay Hain

Rehmaton Ki Chadar Sar Pe Saaye Chalte Hain
Mustafa Ke Deewane Ghar Se Jab Nikalte Hain

Zikr-e-Shah-e-Bat’ha Ko Wird Ab Bana Lijiye
Woh Zikr Jis Se Gham Khushi Mein Dhalte Hain

Sach Hain Gair Ka Ehsaan, Wo Kabhi Nahi Lete
Aay Aleem Aaqa Ke Jo Tukdo Pe Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain
Mustafa ﷺ Ghulamo Ki Qismatain Badal’te Hain

Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
Naat Lyrics in Urdu

 

چھوڑ فکر دنیا کی چل مدینے چلتے ہیں
مصطفٰے ﷺ غلاموں کی قسمتیں بدلتے ہیں

رحمتوں کی چادر کے سر پہ سائے چلتے ہیں
مصطفیٰ کے دیوانے گھر سے جب نکلتے ہیں

ہم کو روز ملتا ہے صدقہ مدینے والے کا
مصطفٰے ﷺ کے ٹکڑوں پہ خوش نصیب پلتے ہیں

آمنہ کے پالے کا، کالی زلفوں والے کا
جشن ہم مناتے ہیں ، جلنے والے جلتے ہیں

صرف ساری دنیا میں وہ ہے کچھ اۓ احمد ﷺ
جس جگہ یہ ہم جیسے کھوٹے سکے چلتے ہیں

نقش کر لے سینے پر نامِ سَرورِ دیں کا
یہ وہ نام ہے جس سے سب عذاب ٹلتے ہیں

رحمتوں کی چادر سر پہ سائے چلتے ہیں
مصطفٰے ﷺ کے دیوانے گھر سے جب نکلتے ہیں

ذکرِ شاہِ بطحٰی کو وِرد اب بنا لیجیے
وہ ذکر جس سے غم خوشی میں ڈھلتے ہیں

سچ ہے غیر کا احسان ہم کبھی نہیں لیتے
اے علیم آقا کے ہم ٹکڑوں پہ پلتے ہیں

 

Read More

Amna BiBi Ke Gulshan Main, Ayi Hai Taza Bahaar
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Wale – Lyrics
Betha Hoon Masjid Nabwi Mein Lyrics
Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte Lyrics

 

Follow Us On:
Pinterest |  Twitter

Ads by Muslim Ad Network

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button