Manqabat

Hussain Jaisa Shaheed-E-Azam Jahan Mein Koi Hua Nahi Hai

Hussain Jaisa Shaheed-E-Aazam Jahan Mein Koi Hua Nahi Hai – Manqabat Lyrics in Urdu

Hussain Jaisa Shaheed-E-Aazam Jahan Mein Koi Hua Nahi Hai
Churi Ke Niche Gala Hai Lekin Kisi Se Koi Gila Nahi Hai

Yazeed Sar Pe Tegh Bole Hussain Sajde Me Gir Ke Bole
Madine Walo Gawah Rehna Namaz Meri Qaza Nahi Hai

Pukare Abbas Aye Sakina Main Paani Launga Aye Sakina
Katein Hain Baazu Chida Hai Seena Abhi Mera Sir Kata Nahi Hai

Yazeed Sar Pe Tegh Bole Hussain Sajde Me Gir Ke Bole
Madine Walo Gawah Rehna Namaz Meri Qaza Nahi Hai

Hussain Farmaye Ye Sathiyo Se Adaa Karo Pusj Laal Sajde
Hai Tegh Khanjar Tabar Ka Saya Kaha Hamara Khuda Nahi Hai

Gareeb Ummat Ki Bekasi Par Hussain Ka Sir Kata Hai Lekin
Yazeed Jaise Shaki Ke Aage Hussain Ka Sir Jhuka Nahi Hai

Yazeed Duniya Me Laakh Aaye Or Sitam Ban Ban Ke Zulm Dhaaye
Chirag-E-Touheed Phir Bhi Sadik Jala Hai Lekin Bujha Nahi Hai

Hussain Jaisa Shaheed-E-Aazam Jahan Mein Koi Hua Nahi Hai

Source: Iqra.co.in

COLLECTION OF NAAT LYRICS

URDU/ENGLISH WEBSITES RELATED TO ISLAM. ISLAMIC WEBSITE FOR PREACHING & EDUCATING ISLAM, KNOWLEDGE AND INFORMATION IN THE LIGHT OF QURAN AND SUNNAH. COLLECTION OF NAAT LYRICS

YOU CAN FIND ISLAMIC ARTICLE/BLOG HERE IN URDU/ENGLISH

اُرْدُو نعت لیرکس

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button