Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte (Lyrics)
Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte – Lyrics
Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad E Mustafa ﷺ Se Dil Ko Garmaya Nahi Karte
Zaban Par Shikwae Ranj O Alam Laya Nahi Karte
Nabi ﷺ Ke Naam Lewa Gham Se Gabraya Nahi Karte
Yeh Darbaar-e-Muhammad ﷺ Hai Yahaan Milta Hai Be-mange
Are Nadan Yahaan Daman Ko Phelaya Nahi Karte
Are O Na Samaj Qurbaan Hoja Unke Roze Par
Yeh Lamhe Zindagi Mein Baar Baar Aya Nahi Karte
Yeh Darbaar-e-Risalat ﷺ Hai Yahaan Apno Ka Kya Kehna
Yahaan Se Hath Khali Ghair Bhi Jaya Nahi Karte
Muhammad Mustafa ﷺ Ke Baagh Keh Sabh Phool Aise Hain
Yeh Bepani Ke Tarr Rehte Hain Murjaya Nahi Karte
Nidamat Sath Le Karr Hashr Me Ae Asiyo Jana
Suna Hai Sharm Walo Ko Woh Sharmaya Nahi Karte
Agar Ho Jazba E Sadiq To Aksar Humne Dekha He
Woh Khud Tashreef Le Ate Hain Tarpaya Nahi Karte
Jo Inke Damaan E Rehmat Se Wabasta Hain Ae Hamid
Kissi Ke Samne Woh Hath Phelaya Nahi Karte
Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad E Mustafa ﷺ Se Dil Ko Garmaya Nahi Karte
Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Lyrics in Urdu
حقیقت میں وہ لطف زندگی پایا نہیں کرتے
جو یاد مصطفیٰ ﷺ دل کو بہلایا نہیں کرتے
زباں پر شکوہ رنج الم لایا نہیں کرتے
نبی ﷺ کے نام لیوا غم سے گھبرایا نہیں کرتے
یہ دربار محمد ﷺ ہے یہاں ملتا ہے بے مانگے
ارے ناداں یہاں دامن کو پھیلایا نہیں کرتے
ارے او نا سمجھ قربان ہو جاان کے روضے پر
یہ لمحے زندگی میں بار بار آیا نہیں کرتے
یہ دربار رسالت ہے یہاں اپنوں کا کیا کہنا
یہاں سے ہاتھ خالی غیر بھی جایا نہیں کرتے
محمد مصطفیٰ ﷺ کے باغ کےسب پھول ایسے ہیں
جو بن پانی کے تر رہتے ہیں مرجھایا نہیں کرتے
ندامت ساتھ لے کر حشر میں اے عاصیو جانا
سنا ہے شرم والوں کو وہ شرمایا نہیں کرتے
اگر ہوجذبہ صادق تو اکثر ہم نے دیکھا ہے
وہ خود تشریف لے آتے ہیں، تڑپایا نہیں کرتے
جو ان کے دامنِ اقدس سے وابستہ ہیں اے حامد
کسی کے سامنے وہ ہاتھ پھلایا نہیں کرتے
شاعر : حامد لکھنوی
Read More:
Sabse Aula o Aala Hamara Nabi ﷺ | Naat Lryics
Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar – Naat Lyrics
Mujh Mein Unki Sana Ka Saleeqa Kahaan – Naat Lyrics in Urdu
Follow Us On: