Hai lab-e-Isaa Sey Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein
Ala-Hazrat Naat Lyrics in Urdu
Hai lab-e-Isaa sey jaan bakhshi niraali haath mein,
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein.
Reh gayien jo paa key jood-e-laa yazaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Kya lakiron mein yadullah khat sar-o-aasa likhaa,
Raah yoon is raaz likhne ki nikaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Jood shahe Kausar apne pyason ka joya hay aap,
Kya ajab ur kar jo aap aaye piyaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Abr nisyaan momino ko taigh uriyaan kufr par,
Jam’a hain shaan-e-jamaali-o-jalaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Maalik-e-kaunain hain go pass kuch rakhte nahin,
Do jahan ki nematein hain un key khaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Saaya afgan sar pe ho parcham Ilaahi jhoom kar,
Jab liwaul-hamd le ummat ka waali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Har khate kaf hay yahaan aay dasht-e-baizaaye kaleem,
Mojzan daryaae noor-e-be misaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Wo giraan sangi qadr-e-mas wo arzaani jood,
Nauiya badla kiye sang walaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Dastageere har do aalam kar diya sibtain ko,
Aay main qurbaan jaan-e-jaan angusht kya lee haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Aah wo aalam key aankhein band aur lab par durood,
Waqf sang-e-dar jabeen rauza ki jaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Jis ne bai’at ki bahaar-e-hassan par qurbaan raha,
Hay lakeerein naqsh-e-taskheer-e-jamaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Kaash ho jaaun lab-e-Kausar mein yoon waa rafta hosh,
Le kar us jaan-e-karam ka zel aali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Aankh mehwe jalwa-e-deedaar-e-dil pur josh-e-wajd,
Lab pe shukr-e-bakhshish saaqi pyaali haath mein.
Aap ﷺ par lakhon darood aur Aapﷺ par lakhon salaam
Hashr mein kya kya mazey waaraftagi key loon RAZA,
Laut jaaun paa key wo daamane aali haath mein.
READ MORE NAAT LYRICS IN URDU:
- AALAM-E-ISLAM KO YE EID-E-MILAD-UN-NABI – LYRICS IN URDU
- ALLAHUMMA SALLE ALA SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIN – NAAT LYRICS
- HAMMAIN APNA WOH (SALLA’LAHU ALAYHI WA SALLAM) KEHTEY HAIN
- JO ISHQ E NABI KE JALWON KO SEENOON MAIN BASAYA KARTY HAIN
Follow Us: