Haal-e-Dil Kis Ko Sunain Aap Ke Hote Huye – Naat Lyrics
Haal-e-Dil Kis Ko Sunain Aap Ke Hote Huye Lyrics
Poet: Altaf Kazmi
Haal-e-Dil Kis Ko Sunayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
Kyun Kisi Ke Dar Pe Jaayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
حالِ دل کس کو سنائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
کیوں کسی کے در پہ جائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Main Ghulam-e-Mustafa ﷺ Hoon Ye Meri Pehchaan Hai
Gham Mujhe Kyun Kar Sataayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
میں غلام مصطفی ﷺ ہوں یہ مری پہچان ہے
غم مجھے کیوں کر ستائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Shaan-e-Mahboobi Dikhayi Jaaye Gi Mahshar Ke Din
Kaun Dekhe Ga Khataayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
شانِ محبوبی دکھائی جائے گی محشر کے دن
کون دیکھے گا خطائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Zulf-e-Mahboob-e-Khuda Lehraye Gi Mahshar Ke Din
Khoob Ye Kis Ki Ghataayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
زلفِ محبوب خدا لہرائے گی محشر کے دن
خوب یہ کس کی گھٹائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Main Ye Kaise Maan Jaaun Shaam Ke Bazaar Mein
Cheen Le Koi Radaayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
میں یہ کیسے مان جاؤں شام کے بازار میں
چھین لے کوئی ردائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Apna Jeena Apna Marna Ab Usi Chaukhat Pe Hai
Hum Kahan Sarkar Jaayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
اپنا جینا اپنا مرنا اب اسی چوکھٹ پہ ہے
ہم کہاں سرکار جائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Keh Raha Hai Aap Ka Rab “Anta Feehim” Aap Se
Main Unhein Doun Kyun Sazaayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
کہہ رہا ہے آپ کا رب “اَنتَ فِیھِم” آپ سے
میں انہیں دوں کیوں سزائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Ye To Ho Sakta Nahin Hai Ye Baat Mumkin Hi Nahin
Mere Ghar Mein Gham Aa Jaayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
یہ تو ہو سکتا نہیں ہے یہ بات ممکن ہی نہیں
میرے گھر میں غم آ جائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Kaun Hai Altaaf Apna Haal-e-Dil Kis Se Kahein
Zakhm-e-Dil Kis Ko Dikhayein Aap ﷺ Ke Hote Huye
کون ہے الطاف اپنا حال دل کس سے کہیں
زخم دل کس کو دکھائیں آپ ﷺ کے ہوتے ہوئے
Read More Naat Lyrics:
- Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Lyrics
- Sochta Hoon Mai Woh Ghadi Kya Ajab
- Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar