Aaya Jashn e Wiladat Aaya Keh Dhoom Machi | Jashn-e-Wiladat Naat
Aaya Jashn e Wiladat Aaya Keh Dhoom Machi
Aaya Jashn e Wilaadat aaya keh dhoom machi
Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Jalwaa Noor e Khuda ne dikhaaya ke dhoom machi
Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Makke mein shor hua hai aaye Huzoor aaye
Unki Aamad ke sadqe Rehmat ke baadal chhae
Aaye Rasool dekho khilte hein fool dekho
Shaane nuzul dekho Saare Aalam ko hai mehkaya
Ke Dhoom machi Sub’han Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Hasrat hai sabko jaaye Aamena bibi ke ghar
Sab hein betaab hein ke dekhe Aaqa ko ek nazar
Qismat ye tune paayi lene Duaaein aayi
Pyari Halima dayee Tune God mein Inko uthaya
Ke Dhoom machi Sub’han Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Bhejo durud un par allah ye farmaya
Jis se vo khud hai razi ese nabi hai aaye
Deeno imaan laye rab ka farman laye
Pyara quran laaye Kalma pyare nabi ne padaya
Ke Dhoom machi Sub’han Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Sukhe Shajar ne paaya Unke karam ka saaya
Pal mein hai Sabz hua Wo qadmon mein sar ko jukaya
Aaye Tayba ke Waali boli ye daali daali
Aaqa ki Shaan nirali Aesa Husn baharon ka chhaya
Ke Dhoom machi Sub’han Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Aao diwaanon saare Jashne Milad manayein
Har su Charaga karke Naaton ke fool lutaayein
Husn tamaam Un par sadqe Gulam Un par
Laakhon salaam Un par Unke jaisa kamal na aaya
Ke Dhoom machi Sub’han Allah
Sallalallah Subhan Allah Sallalallah Subhan Allah
Lyrics Source: www.naat-e-sarkar.com
Read More:
- Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad ﷺ (Lyriccs in Urdu)
- Jashne Wilaadat Manaao (Lyrics) – Kalam Jashan-e-Wiladat Rasool ﷺ
- Rabi ul Awal Mubarak Whatsapp Status 2022 & Status Videos
- Mein Jashn-e-Aamad-E-Sarkar Yoon Manaonga | Eid Milad Un Nabi 2022
Aaya Jashn e Wiladat Aya | Dhoom Machi SubhanAllah