Naat Lyrics

Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala – Naat Lyrics

Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala

 

Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala
Muraden Ghareebon Ki Bar Lane Wala

Museebat Mein Ghairon Ke Kaam Ane Wala
Wo Apne Paraye Ka Gham Khane Wala

Faqeeron Ka Malja Zaeefon Ka Mawa
Yateemon Ka Wali Ghulamon Ka Mawla

Khata Kar Se Darguzar Karne Wala
Bad Andesh Ke Dil Mein Ghar Karne Wala

Mufasid Ko Zero Zabar Karne Wala
Qabail Ko Sheer-o-Shakar Karne Wala

Utar Kar Hira Se Soye Qaum Aya
Aur Ek Nuskha-e-Kimiya Sath Laya

Mas-e-Khaam Ko Jis Ne Kundan Banaya
Khara Aur Khota Alag Kar Dikhaya

Arab Jis Pe Qarnon Se Tha Jahl Chhaya
Palat Di Bas Ek Aan Mein Us Ki Kaya

Raha Dar Na Bede Ko Mouj-e-Bala Ka
Idhar Se Udhar Phir Gaya Rukh Hawa Ka

Wo Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pane Wala

Naat Lyrics in Urdu

 

وہ نبیوں میں رحمت لقب پانے والا
مرادیں غریبوں کی بر لانے والا

مصیبت میں غیروں کے کام آنے والا
وہ اپنے پرائے کا غم کھانے والا

فقیروں کا ملجا ضعیفوں کا ماویٰ
یتیموں کا والی غلاموں کا مولیٰ

خطا کار سے درگزر کرنے والا
بد اندیش کے دل میں گھر کرنے والا

مفاسد کو زیر و زبر کرنے والا
قبائل کو شیر و شکر کرنے والا

اتر کر حرا سے سوئے قوم آیا
اور اک نسخۂ کیمیا ساتھ لایا

مس خام کو جس نے کندن بنایا
کھرا اور کھوٹا الگ کر دکھایا

عرب جس پہ قرنوں سے تھا جہل چھایا
پلٹ دی بس اک آن میں اس کی کایا

رہا ڈر نہ بیڑے کو موج بلا کا
ادھر سے ادھر پھر گیا رخ ہوا کا

شاعر:الطاف حسین حالی

 

Read More Lyrics:

Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi – Lyrics
Gham Sabhi Rahat O Taskeen Mein Dhal Jaate Hain
Ya Nabi Nazre Karam Farmana, Aye Hasnain ke Nana

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
10 Easy Ways To Ask for Forgiveness 20 Best Times For Dua 🤲 Huge Rewards In Just 2 Minutes. RECITE THIS AFTER SALAH 7 WAYS TO INCREASE RIZQ Wipe Away Major And Minor Sins. Inspirational Islamic Quotes for Daily Life! Friendship Quotes for Muslims – Islamic Friendship Quotes [Web Story] Takbir Al Tashreeq – اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ Talbiyah: Labaik Allahumma Labbaik | لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ