Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai | Naat Lyrics in Urdu
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, Tumhare dar se hi loo lagi hai
Koi saleeqa hai aarzo ka, na bandagi meri bandagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, Huzoor ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Koi saleeqa hai aarzo ka, na bandagi meri bandagi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil Tum ho, yeh sab Tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Koi saleeqa hai aarzo ka, na bandagi meri bandagi hai
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat Tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, Huzoor ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, Nabi ka irfan bandagi hai
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aaqa keh baat ab tak bani hui hai
- ALLAH NE POHNCHAYA SARKAR KE QADMON MEIN
- AB MERI NIGAHOON MEIN JACHTA NAHI KOI
- DUROOD LAB PAR KHAYAL DIL MEIN
- TAAB E MIRAAT E SAHER GARD E BAYABAAN E ARAB NAAT LYRICS
Read More Articles:
- Rewards of Sending Durood upon Beloved Prophet Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam
- Benefits of Reciting Durood Sharif
- Top 7 Largest Mosques in the World
- How to Become a Better Muslim