Ya Nabi Nazre Karam Farmana, Aye Hasnain ke Nana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana, Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari, Aap hain mere Data
Saare rishte naato se hai, Pyaara apna naata
Aap tou hain, aata hai jinko sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh, Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla, Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika, Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil, Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai, Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat, Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho, Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana, Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu, Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Read More: