Ads by Muslim Ad Network

Naat Lyrics

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aa Gayi Hai – Urdu Naat

Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aa Gayi Hai

Poet: Akhtar Raza Khan Naats (R.A)

 

Tere Damaan-e-Karam Mein Jise Neend Aa Gayi Hai
Jo Fana Na Hogi, Aisi Use Zindagi Mili Hai

تیرے دامانِ کرم میں جسے نیند آ گئی ہے
جو فنا نہ ہوگی، ایسی اُسے زندگی ملی ہے۔

Mujhe Kya Pari Kisi Se Karun Arz-e-Mudda’a Mein
Meri Lau To Bas Unhi Ke Darejood Se Lagi Hai

مجھے کیا پڑی کسی سے کروں عرضِ مدعا میں
میری لو تو بس اُنی کے درِ جود سے لگی ہے

Woh Jahan Bhar Ke Daata Mujhe Phair Dein Ge Khaali
Meri Tauba Ae Khuda! Ye Mere Nafs Ki Badi Hai

وہ جہاں بھر کے داتا مجھے پھیر دیں گے خالی
میری توبہ اے خُدا! یہ میرے نفس کی بدی ہے

Main Marun To Mere Maula Ye Malaika Se Keh De
Koi Is Ko Mat Jagana, Abhi Aankh Lagi Hai

میں مروں تو میرے مولا یہ ملائکہ سے کہہ دے
کوئی اِس کو مت جگانا، ابھی آنکھ لگی ہے

Main Gunahgaar Hoon Aur Baray Martabon Ki Khwahish
Tu Magar Kareem Hai, Jo Teri Banda Parwari Hai

میں گناہگار ہوں اور بڑے مرتبوں کی خواہش
تو مگر کریم ہے، جو تیری بندہ پروری ہے

Teri Yaad Thapki De Kar Mujhe Ab Sula Hi De
Mujhe Jaagtay Huay Yun Bari Der Ho Gayi Hai

تیری یاد تھپکی دے کر مجھے اب سُلا ہی دے
مجھے جاگتے ہوئے یوں بڑی دیر ہو گئی ہے

Tera Dil-e-Shakta Akhtar, Isi Intizaar Mein Hai
Ke Abhi Naveed-e-Waslat Tere Dar Se Aa Rahi Hai

تیرا دلِ شَکْتَہ اختر، اسی انتظار میں ہے
کہ ابھی نویدِ وصْلت تیرے در سے آ رہی ہے

 

Wo Jis Ke Liye Mehfil e Konain Sajee Hai, Wo Mera Nabi Hai – Naat Lyrics
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Assalamu Alayka Ya Rasool Allah (Lyrics) 

Ads by Muslim Ad Network

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button