Madine Mein Saba Jana Tou Itna Kaam Kar Dena – Lyrics
Madine Mein Saba Jana Tou Itna Kaam Kar Dena
Hafiz Tahir Qadri Naat Lyrics
Madine mein saba jana to itna kaam kar dena
Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena
Ye keh dena hazaron aeb rakhta hu hunar dena
Na dil dena na dar dena na zar dena na ghar dena
Tumhe dekha karu atho pahar esi nazar dena
Madine main saba jana to itna kaam kar dena
Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena
Kiye hai jurm itne is liye bachta raha hu mai
Gunahon ke bhavar me dubata hi ja raha hu mai
Chala aya jo tayba mai to beda paar kar dena
Madine mai saba jana to itna kaam kar dena
Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena
Shab e asra ke ae dulha tumhari dhum hai ghar ghar
Gulamo ko navaza hai hamesha tumne bhar bhar kar
Savali hu tere dar ka meri joli tu bhar dena
Madine main saba jana to itna kaam kar dena
Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena
Source: www.naat-e-sarkar.com
Hafiz Tahir Qadri – Madine Main Saba Jana
Read More: