Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda (Naat Lyrics)
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda (Lyrics)
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeeda Laghzeeda
Chala Hoon Ek Mujrim Ki Tarah Main Janib-e-Tayyiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeeda Larzeeda
Kisi Ke Haath Ne Mujh Ko Sahara De Diya Warna
Kahan Main Aur Kahan Ye Rastey Paicheeda Paicheeda
Kahan Main Aur Kahan Is Roza-e-Aqdas Ka Nazara
Nazar Is Simt Uthti Hai Magar Duzdeeda Duzdeeda
Ghulaman-e-Muhammad Door Se Pehchane Jate Hain
Dil Garweeda Garweeda Sar Shoreeda Shoreed
Madine Ja Ke Hum Samjhe Taqaddus Kis Ko Kehte Hain
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjeeda Sanjeeda
Basarat Kho Gayi Lekin Baseerat To Salamat Hai
Madina Hum Ne Dekha Hai Magar Nadeeda Nadeeda
Wohi Iqbal Jis Ko Naz Tha Kal Khush Mizaji Par
Firaq-e-Tayyiba Mein Rehta Hai Ab Ranjeeda Ranjeeda
Madine Ka Safar Hai Aur Main Nam Deeda Nam Deeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Larzeeda Larzeeda
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda
(Naat Lyrics in Urdu)
نعت رسول مقبول ﷺ
مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ
جبیں افسردہ افسردہ قدم لغزیدہ لغزیدہ
چلا ہوں ایک مجرم کی طرح میں جانب طیبہ
نظر شرمندہ شرمندہ بدن لرزیدہ لرزیدہ
کسی کے ہاتھ نے مجھ کو سہارا دے دیا ورنہ
کہاں میں اور کہاں یہ راستے پیچیدہ پیچیدہ
کہاں میں اور کہاں اس روضۂ اقدس کا نظارہ
نظر اس سمت اٹھتی ہے مگر دزدیدہ دزدیدہ
غلامان محمد دور سے پہچانے جاتے ہیں
دل گرویدہ گرویدہ سر شوریدہ شوریدہ
مدینے جا کے ہم سمجھے تقدس کس کو کہتے ہیں
ہوا پاکیزہ پاکیزہ فضا سنجیدہ سنجیدہ
بصارت کھو گئی لیکن بصیرت تو سلامت ہے
مدینہ ہم نے دیکھا ہے مگر نادیدہ نادیدہ
وہی اقبالؔ جس کو ناز تھا کل خوش مزاجی پر
فراق طیبہ میں رہتا ہے اب رنجیدہ رنجیدہ
مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ
جبیں افسردہ افسردہ قدم لرزیدہ لرزیدہ
Apni Rehmat Ke Samandar Mein Utar Jaane De
Noori Mukhra Te Zulfa’an Ne Kaliyan
Gunahon Ki Adat Churah Mere Maula Lyrics