Kiya Khabar Kiya Saza Mujh Ko Milti -Naat Lyrics
Kiya Khabar Kiya Saza Mujh Ko Milti (Lyrics)
اللهم صل على محمد النبي الامي وعلى آله وسلم تسليما
Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti, Mere Aaqa Ne Izzat Bachali
Fard-E-Asyaan Meri Mujh Se Lekar, Kali Kamli Mein Apni Chhupali
کیا خبر کیا سزا مجھ کو ملتی ، میرے آقا نےعزت بچالی
فردِ عصیاں مری مجھ سے لےکر، کالی کملی میں اپنی چھپالی
Woh Ata Par Ata Karne Wale Aur Hum Bhi Nahi Tallne Wale
Jaisi Deodhi Hai Waise Bhikhari, Jaisa Data Hai Waise Sawali
وہ عطا پر عطا کرنےوالے اور ہم بھی نہیں ٹلنے والے
جیسی ڈیوڑھی ہے ویسے بھکاری، جیسا داتا ہے ویسےسوالی
Main Gada Hoon Magar Kis Ke Dar Ka? Woh Jo Sultan-E-Kon-O-Makaan Hain
Yeh Ghulami Badi Mustand Hai, Mere Sar Par Hai Taj-E-Bilali
میں گدا ہوں مگر کس کےدر کا؟ وہ جو سلطانِ کون و مکاں ہیں
یہ غلامی بڑی مستند ہی، میرے سر پر ہے تاجِ بلالی
Meri Umar-E-Rawan Bas Thehar Ja, Ab Safar Ki Zarurat Nahi Hai
Unke Qadmon Mein Meri Jabee’n Hai Aur Haathon Mein Roze Ki Jaali
میری عمرِ رواں بس ٹھہر جا، اب سفر کی ضرورت نہیں ہے
ان کےقدموں میں میری جبیں ہے اور ہاتھوں میں روضے کی جالی
Is Ko Kehte Hain Banda Nawazi, Naam Is Ka Hai Rehmat Mizaji
Doston Par Bhi Chashm-E-Karam Hai, Dushmanon Se Bhi Sheereen Maqali
اِس کو کہتےہیں بندہ نوازی ، نام اِس کا ہے رحمت مزاجی
دوستوں پر بھی چشمِ کرم ہے، دشمنوں سےبھی شیریں مقالی
Main Madine Se Kya Aa Gaya Hoon, Zindagi Jaise Bujh Si Gayi Hai
Ghar Ke Andar Fiza Sooni Sooni, Ghar Ke Bahar Samaan Khali Khali
میں مدینے سےکیا آگیا ہوں ، زندگی جیسےبجھ سی گئی ہے
گھر کےاندر فضا سونی سونی، گھر کےباہر سماں خالی خالی
Koi Baad-E-Mukhalif Se Kehde, Ab Meri Roshni Mujh Se Chheene
Main Ne Aankhon Ki Shamaein Bujha Kar, Dil Mein Tayyiba Ki Shama Jalali
کوئی بادِ مخالف سے کہدے، اب مری روشنی مجھ سے چھینے
میں نے آنکھوں کی شمعیں بجھا کر، دل میں طیبہ کی شمع جلالی
Koi Baad-E-Mukhalif Se Kehde, Ab Meri Roshni Mujh Se Chheene
Main Ne Aankhon Ki Shamaein Bujha Kar, Dil Mein Tayyiba Ki Shama Jalali
میں فقط نام لیوا ہوں ان کا، ان کی توصیف میں کیا کروں گا
میں نہ اقبؔال خسرؔو، نہ سعدؔی ، میں نہ قدسؔی نہ جامؔی ، نہ حاؔلی
Main Faqat Naam Liva Hoon Unka, Unki Tauseef Mein Kya Karoon Ga
Main Na Iqbal, Khusro, Na Saadi, Main Na Qudsi, Na Jami, Na Hali
LAM YA’ATI NAZEERU KAFI NAZARIN
Noor Wala Aya Hai Noor Lay kar Aya Hai Lyrics
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar – Lyrics
Sarwar kahoon Ke Maalik-o-Maula Kahoon Tujhe Lyrics