Naat Lyrics

Halke Mein Rasoolon Ke Wo Mahe Madni Hai

Halke Mein Rasoolon Ke Wo Mahe Madni Hai – Naat Lyrics in Urdu

Halke Mein Rasoolon Ke Wo Mahe Madni Hai
Kya Chand Ki Tanveer Sitaron Mein Chchani Hai
 
Kehde Mere Esa (A.S) Se Madine Mein Yeh Koi.
Ab Jan Pe Bemar-e-Mohabbat Ke Bani Hai.
 
Mehboob Ko Be Dekhe Hoye Laut Rahe Hain.
Eshaaq Mein Kya Rang-e-Awais-e-Qarni(RA) Hai.
 
Ghar Se Khain Acha Hai Madine Ka Musafir.
Yaan Subh-e-Watan Sham-e-Ghareeb-ul-Watni Hai.
 
Mairaj Mein Horoon Ne Jo Dekha Tu Yeh Bolein.
Kis Nook Palak Ka Yeh Jawan-e-Madni Hai.
 
Ik Umar Se Jalta Hai Magar Jal Nahi Chukta.
Kis Shama Ka Parwana Awais-e-Qarni(RA) Hai.
 
Eshaq Se Poche Na Gaye Hashar Mein Amaal.
Kya Bigari Hoi Baat Mohabbat Se Bani Hai.
 
Yaad Ahmad-e-Mukhtar Ki Hai Kaba-e-Dill Mein.
Make Mein Ayaan Jalwah-e-Mah-e-Madni Hai.
 
Kis Shoq Se Jate Hain Madine Ke Musafir.
Mehboob-e-Watan Se Kahin Yeh Be-Watni Hai.
 
Kehta Hai Musafir Se Yeh Har Nakhal-e-Madina.
Aaram Zara Le Lo Yahan Chaon Ghani Hai.
 
Aagosh-e-Tasawur Mein Bhi Aana Nahi Mumkin.
Horoon Se Bhi Barh Kar Teri Naazkbandi Hai.
 
ALLAH Ke Mehboob Se Hai Ishq Ka Dawa.
Bandoon Ka Bhi Kya Hosla ALLAH Ghani Hai.
 
Aankhon Se Tapakta Hai Meri Rang-e-Awaisi.
Jo Lakht-e-Jigar Hai Woh Aqeeq-e-Yamni Hai.
 
Main Oss Ke Ghulamo Mein Hoon Jo Hai Sab Ka Aaqa.
Sardar-e-Rasul Syed-e-Maki Madni Hai.
 
Aada Ne Jahan Mangi Amaa Ruk Gayi Chal Kar.
Shamsheer-e-Hussain(AS) Mein Bhi Khalq-e-Hasan(AS) Hai.
 
Har Dil Mein Hai Mheboob-e-Ilahi Ki Tajali.
Har Aine Mein Aks-e-Jamal-e-Madni Hai.
 
Maqtal Hai Chaman Naash Pe Horoon Ka Hai Majmaa.
Kay Rang Mein Dobi Meri Khoone Kafni Hai.
 
Pohanchi Hain Kahan Aahein Awais-e-Qarni(RA) Ki.
Bagoon Mein Madine Ke Haway-e-Yamni Hai.
 
Kuch Madah Parhoon Roza-e-Pur Noor Pe Chal Kar.
Yeh Baat Ameer Ab Tu Mere Dill Mein Thani Hai.
 

Urdu/English Websites related to Islam. Islamic website for preaching & educating Islam, knowledge and information in the light of Quran and Sunnah.

You can find Islamic Article/Blog here in Urdu/English

islamkidunya.com

Read More Naat Lyrics:

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button