Gali Gali Saj Gayi Shehar Shehar Saj Gaya (Hafiz Tahir Qadri Lyrics)
Gali Gali Saj Gayi Shehar Shehar Saj Gaya
(Hafiz Tahir Qadri Lyrics)
Gali Gali Saj Gayi
Shehar Shehar Saj gaya
Aaye Nabi Pyare Nabi
Mera bhi Ghar Saj gaya
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Mustafa se Pyar hai Dil se Ye Ikrar hai
Har koi Milade Nabi karne ko Tayyar hai
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Jande lagao Khushiyan manao
Karke Charagan Khushiyan manao
Aashik ne Madani Lighton se Ghar Jagmaga diya
Ye Jashn Zaroori hai Sabhi ko bata diya
Munkir Ye Tera Bugz hai Milade Nabi se
Jo Sara Saal Jalta tha Wo bhi buja diya
(Milad pe Charagan na sahi Jo Bulb sara Saal Jalta tha
Wo bhi buja diya )
Gali Gali Saj Gayi
Shehar Shehar Saj gaya
Aaye Nabi Pyare Nabi
Mera bhi Ghar Saj gaya
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Kaabe Ke BadrudDujja Tum pe Karodon Durood
Tayba ke ShamsodDuha Tum pe Karodon Durood
Shafa-e-Roze Jaza Tum pe Karodon Durood
Dafa-e-Jumla Bala Tum pe Karodon Durood
Aur Koi Gayb kya Tum se nihaan ho bhala
Jab na Khuda hi chhupa Tum pe Karodon Durood
Kaam Wo le lijiye Tum ko Jo raazi kare
Theek ho Naame Raza Tum pe Karodon Durood
Sarkar ke Milad pe Kyun Aetraz hai
Ye Baat Khushi ki hai Aur Tu Naraz hai
Lagta hai Teri Daal mein Kala Zarur hai
Milad manane pe Hamein Dil se Naaz hai
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Sarkar Aaye Marhaba
Dildar Aaye Marhaba
Manthar Aaye Mere Lajpaal Aaye
Sarkar Aaye Marhaba
Dildar Aaye Marhaba
Manthar Aaye Mere Lajpaal Aaye
Quraan ke bataye huye raste pe rahenge
As’habe Muhammad ke Tareeke pe chalenge
Mumkin hi nahin kam ho kabhi Pyar ke Jazbe
Milade Nabi Pehle se bhi Jyada karenge
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Shane Rasoole Paak Sunate hi rehenge
Lab par Duroode Paak Sajate hi rahenge
Jo Mante nahin hein Hamein Unse Garz Kya
Ham Log to Milad Manate hi rahenge
Gali Gali Saj Gayi
Shehar Shehar Saj gaya
Aaye Nabi Pyare Nabi
Mera bhi Ghar Saj gaya
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Purnoor hai Zamana Sub’he Shabe Wiladat
Parda utha hai Kiska Sub’he Shabe Wiladat
Aayi nayi hukumat Sikka naya chalega
Aalam ne rang badla Sub’he Shabe Wiladat
Dil Jag Maga rahe hein Kismat chamak uthi hai
Faila naya ujala Sub’he Shabe Wiladat
Ye bigde huye log sudhar Kyun nahin jate
Usshak Samandar mein utar kyun nahin jate
Gustakhon ki karte hein yahan Jo bhi Himayat
Sarkar ke Gaddar hein Ye mar kyun nahin jate
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Milad karenge Milad karenge
Sarkar Aaye Marhaba
Dildar Aaye Marhaba
Manthar Aaye Mere Lajpaal Aaye
Khud Apne hi Hathon se yun Takdeer jagalo
Halat sanwar jayenge Jhandon ko uthalo
Imaan hai Aur Khair hai Milad Ujagar
Kyun baithe ho Sarkar ka Milad manalo
Gali Gali Saj Gayi
Shehar Shehar Saj gaya
Aaye Nabi Pyare Nabi
Mera bhi Ghar Saj gaya
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Mustafa se Pyar hai Dil se Ye Ikrar hai
Har koi Milade Nabi karne ko Tayyar hai
Duniya mein Jahan bhi rahein Aabad rahenge
Jo Aamena ke Laal ka Milad karenge
Lyrics Source: www.naat-e-sarkar.com
Read More Naat Lyrics:
- Gul-e-Ummid Khila Dijiye Mere Aaqa ﷺ – Owais Raza Qadri Naat Lyrics
- Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera – Naat Lyrics
- Main Hun Hussaini Bachpan Se – Hafiz Tahir Qadri Lyrics
Gali Gali Saj Gai | Rabiul Awwal Milad Kalam | Lyrical Video 2021 | Hafiz Tahir Qadri