Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai – Junaid Jamshed (Lyrics)
Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Junaid Jamshed (Lyrics)
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai
Jab se bani hai duniya aaye hazaro laakho
Baaki raha na koi mitti me sab samaye
Iss baat ko na bhulo sabka yahi hashar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai
Makhmal pe sone waale Mitti pe so rahe hai.
Shaaho gada yahan par, Sab ek ho rahe hai.
Dono huye baraabar, Ye maut ka asar hai.
Dunya ke ae Musafir, Manzil teri qabar hai.
Ye aali shan Banglay wahan kaam ka nahin hain
Makhmal main sonay walay maati main so rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tera ghar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai
Mahalo mein sone wale mitti mein so rahe hai
Shaho gadha yaha sab ek saath so rahe hai
Dono huye barabar yeh maut ka asar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai
Aankho se tune apni janaze dekhe
Haatho se tune apne dafnaye kitne murde
Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai
Duniya Kay Ae Musafir | Junaid Jamshed
Read More: