Ye Subh-e-Madina Ye Sham-e-Madina – Junaid Jamshed (Lyrics)

Admin
Ye Subh-e-Madina Ye Sham-e-Madina - Junaid Jamshed (Lyrics)

Ye Subh-e-Madina Ye Sham-e-Madina

Junaid Jamshed (Lyrics)

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Mubarak tujhe ho ae arz-e-madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Tere paas jab sayyad-e-do jahan hain
Na kyun rashk-e-aflak ho phir madina
Madina madina madina madina

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Tere sabz gumbad pe ‘alam fida hai
Falak jaise choome zameen-e-madina

Tera zarrah zarrah nishan-e-Nabi (saw) hai
Fida tujh pe main khak shahr-e-madina

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Ohad ke ye daman me khoon-e-shaheedan
Sabaq de raha hai wafa-e-madina

Nishani hai islam ki ‘azmaton ki
Sahaba (ra) ke qadmon se khak-e-madina

Wafadariyon par sahab ki akhtar
Hai tareekh roshan ye shahr-e-madina

Yeh subhh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ae arz-e-madina

Yeh subah-e-medina yeh sham-e-madina Urdu Audio Naat with Lyrics – Junaid Jamshed

Read More:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Next Post

Woh Makkah Yaad Ataa Hai - Junaid Jamshed (Lyrics)

Woh Makkah Yaad Ataa Hai Junaid Jamshed (Lyrics) Mujhy furqat mein reh ker phir woh Makkah yaad ataa haiWo Zamzam yad ata hai wo Kaaba yad ata hai Phen ker serf do kapray mera wo chkthe phirnaWo koshish yad ati hai wo naara yad ata haiJahan ja ker mein sar […]
Woh Makkah Yaad Ataa Hai - Junaid Jamshed (Lyrics)
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for ProvisionIslamic Duas!Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr!4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran!SABR..Beautiful. Masha’Allah ❤Istighfar Dua Collection!Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤