Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par (Lyrics)
Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar
Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar
Bahaar Lootain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar
Na Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koii
Wo Be-Nawaon Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar
Hamaari Saari Zaruraton Par Kafaalaton Ki Nazar Hai Un Ki
Woh Jhooliyan Bhar Rahe Hain Sab Ki Karam Ke Moti Luta Luta Kar
Wo Raahain Ab Tak Saji Hui Hain Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein
Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar
Hai Unko Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hai Rahmat Sha’aar Kitna
Hamaare Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar
Mein Aisa Aasi Hun Jisski Jholi Main Koi Husn-E-Amal Nahiin Hei
Magar Wo Ihsaan Kar Rahe Hein Khata-Ain Meri Chhupa Chhupa Kar
Yehi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri
Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar
Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chum Loon Ga Utha Utha Kar
Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par
(Lyrics in Urdu)
چلو دیار نبیﷺ کی جانب درود لب پر سجا سجا کر
بہاریں لوٹیں گے ہم کرم کی دلوں میں دامن بنا بنا کر
نہ ان کے جیسا سخی ہے کوئی نہ ان کے جیسا غنی ہے کوئی
وہ بے نواوں کو ہر جگہ سے نوازتے ہیں بلا بلا کر
ہماری ساری ضرورتوں پر کفالتوں کی نظر ہے ان کی
وہ جھولیاں بھر رہے ہیں سب کی کرم کے موتی لٹا لٹا کر
وہ راہیں اب تک سجی ہوئی ہیں دلوں کا کعبہ نبی ہوئی ہے
جہاں جہاں سے حضورﷺ گزرے ہیں نقش اپنا جما جما کر
ہے ان کو امت سے پیار کتنا کرم ہے رحمت شعار کتنا
ہمارے جرموں کو دھو رہے ہیں حضورﷺ آنسو بہا بہا کر
میں ایسا عاصی ہوں جس کی جھولی میں کوئی حسن عمل نہیں ہے
مگر وہ احسان کر رہے ہیں خطائیں میری چھپا چھپا کر
یہی اثاثہ عمل ہے میری اسی سے بگڑی بنی ہے میری
سمیٹتا ہوں کرم خدا کا ، نبیﷺ کی نعتیں سنا سنا کر
اگر مقدر نے یاوری کی اگر مدینے گیا میں خالد
قدم قدم خاک اس گلی کی چوم لوں گا اٹھا اٹھا کر
Read More Naat Lyrics
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale (Lyrics)
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Sabse Aula o Aala Hamara Nabi ﷺ | Naat Lryics
Follow Us On: