Naat Lyrics
Shehre Nabi Teri Galiyo Ka – Naat Lyrics
Shehre Nabi Teri Galiyon Ka – Naat Lyrics
Shehre Nabi Teri Galiyon Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai
Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai
Dil Ko Sukun De Aankh Ko Thandak Rouza Hi Kuch Aisa Hai
Farshe Zami Par Arshe Bari Ho Lagta Hi Kuch Aisa Hai
Unke Dar Par Aisa Jhuka Dil Uthne Ka Ab Hosh Nahi
Ahle Shariyat Hai Sakte Me Sajda Hi Kuch Aisa Hai
Sibte Nabi He Pushte Nabi Par Aur Sajde Ki Haalat He
Aaqa Ne Tasbih BhadHei Beta Hi Kuch Aisa Hai
Rab Ke Siwa Dekha Na Kisine Farshi Ho Ya Arshi Ho
Unke Haqiqat Ke Chehre Par Parda Hi Kuch Aisa Hai
Taaj Ko Apne Qaasa Banaa Kar Haazir He Shaahan E Jaha
Unki Ata Hi Kuch Aisi He Sadqa Hi Kuch Aisa Hai
Kham He Yaha Jhamshid O Sikandar Is Me Kya Herani Hai
Unke Gulaamo Ka Ai “Akhtar” Rutba Hi Kuch Aisa Hai
Owais Raza Qadri Sb -Shehr Nabi Teri Galyu Ka Naqsha He Kuch Aisa Hai
Read More: