Bas ek aasra mushkil main hai Rehman ka Zamana muntazir hai Rabb e kun ke farman ka Hai ye waqte dua, aur tuhi kaar saaz hai Moula K tujh ko wasta dete hain Maah e Quran ka
Nua’aye insaa’n pe kaisi ghari aagai Aazmaish ki manzil karri aa gai
Humko rasta Khuda phir dikha de koi Dil main jazba e khidmat jaga de koi
Kon hai jo kisi ka sahara banay Rahmat e kibriya ka ishara baney
Ye karam ki sada aaj hai ku baku Allah hu, Allah hu, Allah hu Shan e Ramzan ayaa’n chaar su Allah hu, Allah hu, Allah hu Shan e Ramzan ayaa’n chaar su
Mah e Ramzan yun aa gaya Ban ke rehmat ye phir chah gaya
Kaise tujh se karun saamna Gir raha hun zara thaamnaa
Kul jahaan mushkilon main ghira Soz e dil ki karen kia dawa
Tere dar pe sawali bana Jhuk ke karta hun main iltija
Bas jhuka hai ye sar aur kia maangna Banda parwar hai tu bas zara dekhna
Teri marzi ko paana meri justaju Allah hu, Allah hu, Allah hu Shan e ramzan ayaa’n chaar su Allah hu, Allah hu, Allah hu Shan e ramzan ayaa’n chaar su
Yehi maah e karam yehi maah e ataa Allah Allah Allah Is mahine main makhfi hai Rab ka pata Aur wo apne bandon ke dil main mila Allah Allah Allah Yani inki khushi main hai uski raza
Aao mil baat k baat lo har khushi Han yehi hai ibadat yehi bandagi Shaan e Ramzan hai dilka shokhubru
Jaan e Ramzan, shaan e Ramzan Jaan e Ramzan shaan e Ramzan Jaan e Ramzan shaan e Ramzan
Shan e Ramazan 2020 Lyrics – Waseem Badami, Junaid Jamshed & Amjad Sabri