Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho – Lyrics in Urdu
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho
Lyrics in Urdu
Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho
Jab Pare Mushkil Shah-e-Mushkil Kusha Ka Saath Ho
یا الٰہی ہر جگہ تیری عطا کا ساتھ ہو
جب پڑے مشکل شہ مشکل کشا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Bhool Jaoon Naz’a Ki Takleef Ko
Shadi-e-Deedar-e-Husn-e-Mustafa Ka Saath Ho
یا الٰہی بھول جاؤں نزع کی تکلیف کو
شادیٔ دیدارِ حسنِ مصطفیٰ کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Gor-e-Teerah Ki Jab Aaye Sakht Raat
Un Ke Pyare Munh Ki Subh-e-Jaan Faza Ka Saath Ho
یا الٰہی گورِ تیرہ کی جب آئے سخت رات
ان کے پیارے منہ کی صبح جانفزا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Pare Mahshar Mein Shor-e-Dar-o-Gir
Aman Dene Wale Pyare Peshwa Ka Saath Ho
یا الٰہی جب پڑے محشر میں شورداروگیر
امن دینے والے پیارے پیشوا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Zabanen Bahar Aayein Pyaas Se
Sahib-e-Kausar Shah-e-Jood-o-Ata Ka Saath Ho
یا الٰہی جب زبانیں باہر آئیں پیاس سے
صاحبِ کوثر شہِ جود وعطا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Sard Mehri Par Ho Jab Khursheed-e-Hashr
Syed-e-Besaya Ke Zill-e-Liwa Ka Saath Ho
یا الٰہی! سرد مہری پر ہو جب خورشیدِ حشر
سیّدِ بے سایہ کے ظِلِّ لِوا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Garmi-e-Mahshar Se Jab Bharakain Badan
Daman-e-Mehboob Ki Thandi Hawa Ka Saath Ho
یا الٰہی گرمیٔ محشر سے جب بھڑکیں بدن
دامنِ محبوب کی ٹھنڈی ہوا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Naam-e-Aamal Jab Khulne Lagein
Aib Posh-e-Khalq, Sattar-e-Khata Ka Saath Ho
یا الٰہی نامۂ اعمال جب کھلنے لگیں
عیب پوشِ خلق ستّارِ خطا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Bahein Aankhein Hisab-e-Jurm Mein
Un Tabassum Rez Honton Ki Dua Ka Saath Ho
یا الٰہی جب بہیں آنکھیں حساب جرم میں
ان تبسم ریز ہونٹوں کی دعا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Hisab-e-Khanda-e-Beja Rulaaye
Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaza Ka Saath Ho
یا الٰہی جب حساب خندۂ بے جار لائے
چشمِ گریانِ شفیعِ مرتجیٰ کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Rang Laayein Jab Meri Bebakiyan
Un Ki Neechi Neechi Nazron Ki Haya Ka Saath Ho
یا الٰہی رنگ لائیں جب مری بے باکیاں
ان کی نیچی نیچی نظروں کی حیا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Chaloon Tareek Rah-e-Pul Sirat
Aftab-e-Hashmi Noor-ul-Huda Ka Saath Ho
یا الٰہی! جب چلوں تاریک راہِ پل صراط
آفتابِ ہاشمی نور الہُدیٰ کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare
Rabb-e-Sallim Kehne Wale Ghamzuda Ka Saath Ho
یا الٰہی جب سر شمشیر پر چلنا پڑے
ربِّ سلّم کہنے والے غمزدہ کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jo Dua-e-Neik Mein Tujh Se Karoon
Qudsiun Ke Lab Se Aameen Rabbana Ka Saath Ho
یا الٰہی جو دعائے نیک میں تجھ سے کروں
قدسیوں کے لب سے آمیں ربّنا کا ساتھ ہو
Ya Ilahi! Jab Raza Khwab-e-Giran Se Sar Uthaye
Dolat-e-Bedar Ishq-e-Mustafa Ka Saath Ho
یا الٰہی جب رضا خواب گراں سے سر اٹھائے
دولتِ بیدار عشقِ مصطفیٰ کا ساتھ ہو
شاعر : امام احمد رضا خان بریلوی
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Darood-e-Ibraheemi | Meaning and Translation in Urdu
Mere Dil Ki Zameen Par Hai Qadam Zahra Ke Bacchon Ka – Lyrics
Hamari Saansein Rawan Hain Jab Tak – Naat Lyrics