Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
– Naat Lyrics in Urdu
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
وہ شہرِ محبت جہاں مصطفیٰ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
Wo Sonay Sae Kankar Wo Chandi See Mitti
Nazar Main Basanay Ko Ji Chahta Hai
وہ سونے سے کنکر، وہ چاندی سی مٹی
نظر میں بسانے کو جی چاہتا ہے
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Jo Pocha Nabi Nae Kay Kuch Ghar Bhi Chora
Tou Siddique Akbar Kay Hoontoo Pay Aaya
Wahan Mal o Dolat ki Kia Hai Zaroorat
Jahan Ji Lutanay Ka Ji Chahta Hai
جو پوچھا نبی نے کہ کچھ گھر بھی چھوڑا
تو صدیق اکبر کے ہونٹوں پہ آیا
وہاں مال و دولت کی کیا ہے ضرورت
جہاں جی لٹانے کا جی چاہتا ہے
Jihad e Muhabbat Ki Awaaz Goongi
Kaha Hanzala Nae Ye Dulhan Sae Apni
Ijazat Agar Doo Tou Jam e Shahdat
Labooo Sae Laganay Ka Ji Chahta Hai
جہادِ محبت کی آواز گونگی
کہا حنظلہ نے یہ جیہن سے اپنی
اجازت اگر دو تو جامِ شہادت
لبوں سے لگانے کا جی چاہتا ہے
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Wo Sonay Sae Kankar Wo Chandi See Mitti
Nazar Main Basanay Ko Ji Chahta Hai
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Sitaroon Sae Ye Chand Kehta Hai Har Dam
TumHain Kia Bataen Wo Tukroan Ka Aalam
Isharay Main Aaqa Kay Itna Maza Tha
Kay Phir Toot Janay Ko Ji Chahta Hai
ستاروں سے یہ چاند کہتا ہے ہر دم
تمہیں کیا بتائیں وہ ٹکڑوں کا عالم
اشارے میں آقا کے اتنا مزا تھا
کہ پھر ٹوٹ جانے کو جی چاہتا ہے
Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Wo Nannaa Sa Asghar Wo Aerrii Ragarr Kar
Yehi Keh Raha Hai Wo Khaemain Main Roo Kar
Aae Baba Main Paani Ka Piyasa Nahi Hoon
Mera Sarr Katanay Ka Ji Chahta Hai
وہ ننّا سا اصغر، وہ عیری رگڑ کر
یہی کہ رہا ہے وہ خیمے میں رو کر
آئے بابا میں پانی کا پیاسا نہیں ہوں
میرا سر کٹانے کا جی چاہتا ہے
Woh Shehr-e-Muhabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Jo Daikha Hai Rooo e Jamal e Risalat
Tou Arshad Omer Mustafa Sae Ye Bolay
Barri Apsay Dhusmani Thee Magar Ab
Ghulami Main Aanay Ka Ji Chahta Hai
جو دیکھا ہے روءے جمالِ رسالت
تو ارشد عمر مصطفیٰ سے یہ بولے
بڑی اپنے دشمنی تھی مگر اب
غلامی میں آنے کا جی چاہتا ہے
Woh Shehr-e-Muhabbat Jahan Mustafa Hain
Wahin Ghar Bananay Ko Ji Chahta Hai
Wo Sonay Sae Kankar Wo Chandi See Mitti
Nazar Main Basanay Ko Ji Chahta Hai
Read More:
- Sabse Aula o Aala Hamara Nabi ﷺ | Naat Lryics
- Sochta Hoon Mai Woh Ghadi Kya Ajab | Naat Lyrics
- Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar – Naat Lyrics
Follow Us On:
Pinterest | Facebook | Instagram | Twitter