Ramadan

Shaan e Ramzan | Mah e Ramzan Yun Aa Gaya Lyrics

Shaan e Ramzan | Mah e Ramzan Yun Aa Gaya

Bas ek aasra mushkil main hai Rehman ka
Zamana muntazir hai Rabb e kun ke farman ka
Hai ye waqte dua, aur tuhi kaar saaz hai Moula
K tujh ko wasta dete hain Maah e Quran ka

Nua’aye insaa’n pe kaisi ghari aagai
Aazmaish ki manzil karri aa gai

Humko rasta Khuda phir dikha de koi
Dil main jazba e khidmat jaga de koi

Kon hai jo kisi ka sahara banay
Rahmat e kibriya ka ishara baney

Ye karam ki sada aaj hai ku baku
Allah hu, Allah hu, Allah hu
Shan e Ramzan ayaa’n chaar su
Allah hu, Allah hu, Allah hu
Shan e Ramzan ayaa’n chaar su

Mah e Ramzan yun aa gaya
Ban ke rehmat ye phir chah gaya

Kaise tujh se karun saamna
Gir raha hun zara thaamnaa

Kul jahaan mushkilon main ghira
Soz e dil ki karen kia dawa

Tere dar pe sawali bana
Jhuk ke karta hun main iltija

Bas jhuka hai ye sar aur kia maangna
Banda parwar hai tu bas zara dekhna

Teri marzi ko paana meri justaju
Allah hu, Allah hu, Allah hu
Shan e ramzan ayaa’n chaar su
Allah hu, Allah hu, Allah hu
Shan e ramzan ayaa’n chaar su

Yehi maah e karam yehi maah e ataa
Allah Allah Allah
Is mahine main makhfi hai Rab ka pata
Aur wo apne bandon ke dil main mila
Allah Allah Allah
Yani inki khushi main hai uski raza

Aao mil baat k baat lo har khushi
Han yehi hai ibadat yehi bandagi
Shaan e Ramzan hai dilka shokhubru

Jaan e Ramzan, shaan e Ramzan
Jaan e Ramzan shaan e Ramzan
Jaan e Ramzan shaan e Ramzan

Shan e Ramazan 2020 Lyrics – Waseem Badami, Junaid Jamshed & Amjad Sabri

Ramadan Dua Quotes | Ramzan Dua Wishes | Ramadan Kareem
Marhaba Mahe Ramzan – Allah Ka Hai Ehsan Ramzan Maherban | Lyrics

Follow Us:

              

Related Articles

Average Rating

5 Star
0%
4 Star
0%
3 Star
0%
2 Star
0%
1 Star
0%

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button