Sarwar kahoon Ke Maalik-o-Maula Kahoon Tujhe (Lyrics)
Sarwar kahoon Ke Maalik-o-Maula Kahoon Tujhe
Sarwar Kahoon Ke Maalik-o-Mola Kahoon Tujhe
Bagh-e-Khalil Ka Gul-e-Zeba Kahoon Tujhe
Harmann Naseeb Hoon Tujhe Umeedgah Kahoon
Jaan-e-Murad O Kaan-e-Tamanna Kahoon Tujhe
Gulzar-e-Quds Ka Gul-e-Rangin Ada Kahoon
Darman-e-Dard-e-Bulbul-e-Sheeda Kahoon Tujhe
Subah-e-Watan Pe Shaam-e-Ghareeban Ko Doon Sharaf
Bekas Nawaz Gaiso’on Wala Kahoon Tujhe
Allah Re Tere Jism-e-Munawwar Ki Tabishen
Ae Jaan-e-Jaan, Main Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhe
Be Daagh Lala Ya Qamar-e-Be-Kalaf Kahoon
Be Khaar Gulban-e-Chaman Ara Kahoon Tujhe
Mujrim Hoon Apne Afw Ka Samaan Karoon Shaha
Yani Shafi-e-Roz-e-Jaza Ka Kahoon Tujhe
Is Murda Dil Ko Mujda-e-Hayat-e-Abad Ka Doon
Taab-o-Tawan-e-Jaan-e-Maseeha Kahoon Tujhe
Tere To Wasf Aib-e-Tanahi Se Hain Bari
Hairaan Hoon Mere Shah Main Kya Kya Kahoon Tujhe
Keh Le Ke Sab Kuch Unke Sana Khwan Ki Khamoshi
Chup Ho Raha Hai Keh Ke Main Kya Kya Kahoon Tujhe
Lekin Raza Ne Khatm-e-Sukhan Is Pe Kar Diya
Khaaliq Ka Banda, Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhe
Sarwar kahoon Ke Maalik-o-Maula Kahoon Tujhe
(Naat Lyrics in Urdu)
سرور کہوں کہ مالک و مولیٰ کہوں تجھے
باغِ خلیل کا گلِ زیبا کہوں تجھے
حرماں نصیب ہوں تجھے اُمید گہ کہوں
جانِ مراد و کانِ تمنا کہوں تجھے
گلزارِ قدس کا گل رنگیں ادا کہوں
درمانِ دردِ بلبلِ شیدا کہوں تجھے
صبح وطن پہ شامِ غریباں کو دُوں شرف
بیکس نواز گیسوؤں والا کہوں تجھے
اللہ رے تیرے جسم منور کی تابشیں
اے جانِ جاں میں جانِ تجلا کہوں تجھے
مجرم ہوں اپنے عفو کا ساماں کروں شہا
یعنی شفیع روزِ جزا کا کہوں تجھے
اس مردہ دل کو مژدہ حیات ابد کا دوں
تاب و توانِ جانِ مسیحا کہوں تجھے
تیرے تو وصف عیب تناہی سے ہیں بری
حیراں ہوں میرے شاہ میں کیا کیا کہوں تجھے
کہہ لے کی سب کچھ انکے ثناء خواں کی خامشی
چپ ہو رہا ہے کہہ کہ میں کیا کیا کہوں تجھے
لیکن رضا نے ختم سخن اس پہ کر دیا
خالق کا بندہ خلق کا اآقا کہوں تجھے
SEHAR KA WAQT THA MASOOM KALIYAAN MUSKURATI THIN
LAM YA’ATI NAZEERU KAFI NAZARIN
PAISH-E-HAQ MUZHDA SHAFA’AT KA SUNATAY JAAYAINGE
MAULA YA SALLI WA SALLIM (MEHMOOD UL HASSAN ASHRAFI)