Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka – Naat Lyrics in Urdu
کوئی سلیقہ ہے آرزو کا نہ بندگی میری بندگی ہے
Koi Saleeqa Hai Arzoo Ka, Na Bandagi Meri Bandagi Hai
Naat Lyrics in Urdu
Koi Saleeqa Hai Arzoo Ka, Na Bandagi Meri Bandagi Hai
Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa ﷺ, Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai
کوئی سلیقہ ہے آرزو کا نہ بندگی میری بندگی ہے
یہ سب تُمہارا کرم ہے آقاﷺ کہ بات اب تک بنی ہوئی ہے
Ata Kiya Mujh Ko Dard-E-Ulfat, Kahan Thi Yeh Pur Khata Ki Qismat
Main Is Karam Ke Kahan Tha Qabil, Huzoor ﷺ Ki Banda Parwari Hai
عطا کیا مجھ کو دردِ اُلفت کہاں تھی یہ پُر خطا کی قِسمت
میں اس کرم کے کہاں تھا قابل حضورﷺ کی بندہ پروری ہے
Amal Ki Mere Asas Kya Hai, Bajuz Nadamat Ke Paas Kya Hai
Rahe Salamat Bas Unki Nisbat, Mera To Bas Aasra Yehi Hai
عمل کی میرے اساس کیا ہے بجز ندامت کے پاس کیا ہے
رہے سلامت بس اُن کی نسبت مرا تو بس آسرا یہی ہے
Unhi Ke Dar Se Khuda Mila Hai, Unhi Se Us Ka Pata Chala Hai
Woh Aaina Jo Khuda Numa Hai, Jamal-E-Husn-E-Huzoor Hi Hai
اُنہی کے دَر سے خُدا مِلا ہے انہی سے اُس کا پتہ چلا ہے
وہ آئینہ جو خُدا نُما ہے جمالِ حسنِ حضور ہی ہے
Tajalliyon Ke Kafeel Tum Ho, Murad-E-Qalb-E-Khalil Tum Ho
Khuda Ki Roshan Daleel Tum Ho, Yeh Sab Tumhari Hi Roshni Hai
تجلّیوں کے کفیل تُم ہو مرادِ قلبِ خلیل تُم ہو
خُدا کی روشن دلیل تُم ہو یہ سب تمہاری ہی روشنی ہے
Basheer Kahiye, Nazeer Kahiye, Unhein Siraj-E-Muneer Kahiye
Jo Sar Basar Hai Kalam-E-Rabbi, Woh Mere Aaqa ﷺ Ki Zindagi Hai
بشیر کہیے نزیر کہیے اُنہیں سراجِ مُنیر کہیے
جو سر بسر ہے کلام ربّی وہ میرے آقاﷺ کی زندگی ہے
Yahi Hai Khalid Asas-E-Rehmat, Yahi Hai Khalid Bina-E-Rehmat
Nabi ﷺ Ka Irfaan Zindagi Hai, Nabi ﷺ Ka Irfaan Bandagi Hai
یہی ہے خالد اساس رحمت یہی ہے خالد بنائے رحمت
نبیﷺ کا عرفان زندگی ہے نبیﷺ کا عرفان بندگی ہے
خالد محمود نقشبندی
Owais Raza Qadri || Koi Saleeqa Hai Arzoo Ka
Sarkar Ka Milad Hamesha Hi Sajey Ga – Rabi ul Awal Naat (Lyrics)
Mere Dil Ki Zameen Par Hai Qadam Zahra Ke Bacchon Ka – Lyrics
Meine Jab Aapki Dehliz ko Aaqa Chuma – Naat Lyrics in Urdu
Karam Phir Rasool e Khuda Kijiyega – Naat Lyrics