Naat Lyrics

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada – Lyrics in Urdu

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada – Lyrics 

 

Is Karam Ka Karun Shukar Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi ﷺ Kar Diya

Main Sajata Tha Sarkar Ki Mehfilain
Mujh Ko Har Gham Se Rab Ne Bari Kar Diya

Zikr Sarkar Ki Hain Bari Barkatein
Mil Gayi Rahatein Azmatein Rifatein

Main Gungaar Tha Be Amal Tha Magar
Mustafa ﷺ Ne Mujhe Jannati Kar Diya

Lamha Lamha Hai Mujh Par Nabi ﷺ Ki Ata
Dosto Aur Maangun Main Maula Se Kya

Kya Yeh Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mehboob Ka Ummati Kar Diya

Jo Bhi Aaya Hai Mehfil Mein Sarkar Ki
Hazri Mil Gayi Jis Ko Darbar Ki

Koi Siddiq Farooq Usman Hua
Aur Kisi Ko Nabi ﷺ Ne Ali Kar Diya

Jo Dar Mustafa Ke Gada Ho Gaye
Dekhte Dekhte Kya Se Kya Ho Gaye

Aisi Chashm Karam Ki Hai Sarkar Ne
Dono Aalam Mein Un Ko Ghani Kar Diya

Koi Mayoos Lauta Na Darbar Se
Jo Bhi Manga Mila Meri Sarkar Se

Sadqe Jaun Niazi Main Lajpal Ke
Har Gada Ko Sakhi Ne Sakhi Kar Diya

 

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Lyrics in Urdu

 

اس کرم کا کروں شکر کیسے ادا جو کرم مجھ پہ میرے نبیﷺ کر دیا
میں سجاتا تھا سرکار کی محفلیں مجھ کو ہر غم سے رب نے بری کر دیا

ذکر سرکار کی ہیں بڑی برکتیں مل گئیں راحتیں عظمتیں رفعتیں
میں گنگار تھا بے عمل تھا مگر مصطفیﷺ نے مجھے جنتی کر دیا

لمحہ لمحہ ہے مجھ پر نبیﷺ کی عطا دوستو اور مانگوں میں مولا سے کیا
کیا یہ کم ہے کہ میرے خدا نے مجھے اپنے محبوب کا امتی کردیا

جو بھی آیا ہے محفل میں سرکار کی حاضری مل گئی جس کو دربار کی
کوئی صدیق فاروق عثماں ہوا اور کسی کو نبیﷺ نے علی کر دیا

جو در مصطفی کے گدا ہو گئے دیکھتے دیکھتے کیا سے کیا ہو گئے
ایسی چشم کرم کی ہے سرکار نے دونوں عالم میں ان کو غنی کردیا

کوئی مایوس لوٹا نہ دربار سے جو بھی مانگا ملا میری سرکار سے
صدقے جاوں نیازی میں لج پال کے ہر گدا کو سخی نے سخی کر دیا

 

Read More Naat Lyrics:

Wo Jis Ke Liye Mehfil e Konain Sajee Hai, Wo Mera Nabi Hai – Naat Lyrics
Huzoor Meri To Sari Bahar Aap Se Hai [Naat Lyrics]
Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad ﷺ (Lyrics in Urdu)

 

 

Ads by Muslim Ad Network

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button