Jab Masjid E Nabawi ﷺ Ke Minaar Nazar Aaye (Lyrics)
Jab Masjid E Nabawi ﷺ Ke Minaar Nazar Aaye (Lyrics)
Jab Masjid E Nabawi ﷺ Ke Minaar Nazar Aaye
Allah Ki Rahmat Ke Aasaar Nazar Aaye
Manzar Ho Bayaan Kaise Alfaaz Nahi Milte
Jiss Waqt Muhammad ﷺ Ka Darbaar Nazar Aaye
Bas Yaad Raha Itna Seene Se Lagi Jaali
Phir Yaad Nahi Kya Kya Anwaar Nazar Aaye
Dukh Dard Kay Maaron Ko Gham Yaad Nahi Rehte
Jab Saamnay Aankhon Kay Gham-Khuar Nazar Aaye
Makkay Ki Fiza-On Mein Taiba Ki Hawaon Mein
Ham Nay To Jidhar Daykha Sarkaar Nazar Aaye
Chhord Aaya Zahoori Main Dil O Jaan Madine Mein
Ab Jeena Yahaan Mujh Ko Dushwaar Nazar Aaye
Jab Masjid E Nabawi ﷺ Ke Minaar Nazar Aaye
(Lyrics in Urdu)
جب مسجد نبویﷺ کے مینار نظر آئے
اللہ کی رحت کے آثار نظر آئے
منظر ہو بیاں کیسے ، الفاظ نہیں ملتے
جس وقت محمدﷺ کا دربار نظر آئے
بس یاد رہا اتنا سینے سے لگی جالی
پھر یاد نہیں کیا کیا انوار نظر آئے
دکھ درد کے ماروں کو غم یاد نہیں رہتے
جب سامنے آنکھوں کے غم خوار نظر آئے
مکے کی فضاوں میں، طیبہ کی ہواوں میں
ہم نے تو جدھر دیکھا سرکارﷺ نظر آئے
چھوڑ آیا ظہوری میں دل و جان مدینے میں
اب جینا یہاں مجھ کو دشوار نظر آئے
شاعر : محمد علی ظہوری
Read More Naat Lyrics:
Madine Se Bulawa Aa Raha Hai – مدینے سے بلاوا آرہا ہے – Naat Lyrics
Wo Jis Ke Liye Mehfil e Konain Sajee Hai, Wo Mera Nabi Hai – Naat Lyrics
Sukoon Paya Hai BeQasi Ne Hudood e Gham Se [Lyrics in Urdu]
Soz e Dil Chahiye Chashm e Nam Chahiye – Naat Lyrics in Urdu
Recite Darood-e-Ibraheemi:
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
اللَّهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ