Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Gham Beshumaar
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Hain Gham Besumar (Lyrics)
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Hain Gham Besumar
Jaan-o-Dil Tum Par Fida Aye Jahaan Ke Tajdar
Main Akela Aur Masail Zindagi Ke Bay Shumaar
Aap Hi Kuch Keejiye Na Ae Sheh-e-Aali Waqaar
Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Kaaba Mujhe
Aur Lipatna Multazam Se Walihana Baar Baar
Sang-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif O Saroor
Chain Paata Dekh Kar Mustajab O Mustajar
Ya Khuda Dikhla Hateem-e-Paak O Mezaab O Maqam
Aur Safa Marwa Mujhe Behar-e-Rasool ﷺ Zai Waqaar
Ja Raha Hai Qafila Tayyaba Nagar, Rota Hua
Main Raha Jaata Hoon Tanha Ae Habib-e-Kirdigar
Jald Phir Tum Lo Bala Aur Sabz Gunbad Do Dikha
Hazri Ki Aarzo Ne Kar Diya Phir Beqarar
Choom Kar Khaak-e-Madina Jhoomta Phirta Tha Main
Yaad Aate Hain Madine Ke Mujhe Leil O Nahar
Gunbad-e-Khizra Ke Jalwe Aur Woh Aftaariyan
Yaad Aati Hai Bohat Ramzan-e-Tayyaba Ki Bahar
Ya Rasool Allah ﷺ Sun Lijiye Meri Faryaad Ko
Kaun Hai Jo Ke Sune Tere Siwa Meri Pukaar
Haal Par Mere Karam Ki Ek Nazar Farmaiye
Dil Mera Ghamgeen Hai Ae Ghamzadon Ke Ghamgusaar
Qafile Walo Suno Yaad Aaye To Mera Salaam
Arz Karna Rote Rote Ho Sake To Baar Baar
Ghamzada Yoon Na Hua Hota Ubaid Qadri
Is Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gunbad Ki Bahar
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Hain Gham Besumar
(Lyrics in Urdu)
ہو کرم سرکار اب تو ہو گئے غم بے شمار
جان و دل تم پر فدا اے دو جہاں کے تاجدار
میں اکیلا اور مسائل زندگی کے بے شمار
آپ ہی کچھ کیجیئے نہ اے شہہ عالی وقار
یاد آتا ہے طواف خانہ کعبہ مجھے
اور لپٹنا ملتزم سے والہانہ بار بار
سنگِ اسود چوم کر ملتا مجھے کیف و سرور
چین پاتا دیکھ کر مستجاب و مستجار
یا خدا دکھلاحطیم پاک و میزاب و مقام
اور صفا مروا مجھے بہر ِرسولؑ زی وقار
جا رہا ہے قافلہ طیبہ نگر، روتا ہوا
میں رہا جاتا ہوں تنہا اے حبیب کردگار
جلد پھر تم لو بلا اور سبز گنبد دو دکھا
حاضری کی آرزو نے کر دیا پھر بیقرار
چوم کر خاک مدینہ جھومتا پھرتا تھا میں
یاد آتے ہیں مدینے کےمجھے لیل و نہار
گنبد خضرا کے جلوے اور وہ افطاریاں
یاد آتی ہے بہت رمضان طیبہ کی بہار
یا رسول اﷲﷺ سن لیجیئے میری فریاد کو
کون ہے جو کہ سنے تیرے سوا میری پکار
حال پر میرے کرم کی اک نظر فرمائیے
دل میرا غمگین ہے اے غمزدوں کے غمگسار
قافلے والوں سنو یاد آئے تو میرا سلام
عرض کرنا روتے روتے ہو سکے تو بار بار
غمزدہ یوں نہ ہوا ہوتا عبید قادری
اس برس بھی دیکھتا گر سبز گنبد کی بہار
MERE DIL MEIN HE YAAD-E-MUHAMMAD
MUJHE DAR PAY PHIR BULANA, MADANI MADINE WALE
PHIR KE GALI GALI TABAH THOKARAIN SAB KI KHAAYE KYUN
SUBHA TAIBAH ME HUI BAT’TA HAIN BAADA NOOR KA