Ab Tou Bas Aik Hi Dhun Hai Keh Madina Dekhon (Naat Lyrics)
Ab Tou Bas Aik Hi Dhun Hai Keh Madina Dekhoon (Lyrics)
Aakhri Waqt Mein Kya Rounaq-e-Duniya Dekhoon
Ab Tou Bas Aik Hi Dhun Hai Keh Madina Dekhoon
Az Ufaaq Ta Be Ufaaq Ek Hi Jalwa Dekhoon
Jis Taraf Aankh Uthay Roza-e-Wala Dekhoon
Aqibat Meri Sunhar Jaye Jo Tayyiba Dekhoon
Dast-e-Emrooz Mein Aainay Faridah Dekhoon
Main Kahan Hoon, Yeh Samajh Loon To Uthaoo Nazarain
Dil Sambhal Jaye To Main Janib-e-Khazra Dekhoon
Main Ne Jin Aankhon Se Dekha Hai Kabhi Shehar-e-Nabi
Aur In Aankhon Se Ab Kya Koi Jalwa Dekhoon
Ba’ad-e-Rihlat Bhi Jo Sarkar Ko Mahboob Raha
Ab In Aankhon Se Main Khush Baqht Woh Hujra Dekhoon
Faqr-o-Faqa Hi Raha Jis Ke Makiinon Ka Naseeb
Chashm-e-Ibrat Se Main Woh Maskan-e-Zahra Dekhoon
Jalian Dekhoon Ke Deewar-o-Dar-o-Baam-e-Haram
Apni Mazoor Nigahon Se Main Kya Kya Dekhoon
Mere Maula Meri Aankhein Mujhe Wapas Kar De
Taqy Is Baar Main Ji Bhar Ke Madina Dekhoon
Jin Gali Kucho Se Guzray Hain Kabhi Mere Hazoor
Un Mein Ta Had-e-Nazar Naqsh-e-Kaf-e-Pa Dekhoon
Taakeh Aankhon Ka Bhi Ahsaan Uthana Na Pade
Qalb Khud Aayina Ban Jaye Main Itna Dekhoon
Kaash Iqbal Yoon Hi Umar Basar Ho Meri
Subh Kaaba Mein Ho Aur Shaam Ko Taiba Dekhoon
Ab Tou Bas Aik Hi Dhun Hai Keh Madina Dekhoon
(Naat Lyrics in Urdu)
آخری وقت میں کیا رونقِ دنیا دیکھوں
اب تو بس ایک ہی دُھن ہے کہ مدینہ دیکھوں
از اُفق تا بہ اُفق ایک ہی جلوہ دیکھوں
جس طرف آنکھ اٹھے روضئہ والا دیکھوں
عاقبت میری سنور جائے جو طیبہ دیکھوں
دستِ امروز میں آئینہ فردا دیکھوں
میں کہاں ہوں ، یہ سمجھ لوں تو اٹھاؤں نظریں
دل سنبھل جائے تو میں جانبِ خضرا دیکھوں
میں نے جن آنکھوں سے دیکھا ہے کبھی شہرِ نبی
اور ان آنکھوں سے اب کیا کوئی جلوہ دیکھوں
بعد رحلت بھی جو سرکار کو محبوب رہا
اب ان آنکھوں سے میں خوش بخت وہ حجرہ دیکھوں
فقر و فاقہ ہی رہا جس کے مکینوں کا نصیب
چشمِ عبرت سے میں وہ مسکنِ زہرا دیکھوں
جالیاں دیکھوں کے دیوار و در و بامِ حرم
اپنی معذور نگاہوں سے میں کیا کیا دیکھوں
میرے مولا مری آنکھیں مجھے واپس کر دے
تاکہ اس بار میں جی بھر کے مدینہ دیکھوں
جن گلی کوچوں سے گزرے ہیں کبھی میرے حضور
ان میں تا حدِ نظر نقشِ کفِ پا دیکھوں
تاکہ آنکھوں کا بھی احسان اٹھانا نہ پڑے
قلب خود آئینہ بن جائے میں اتنا دیکھوں
کاش اقبالؔ یوں ہی عمر بسر ہو میری
صبح کعبے میں ہو اور شام کو طیبہ دیکھوں
اقباؔل عظیم
Read More:
Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar – Naat Lyrics
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye – Naat Lyrics
Follow Us On: