Do jahaan ke Wali
Do jahaan ke Wali
Do jahaan ke Wali (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai
Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai
Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai
Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai
Haleema (radi Allahu ‘anha) teri kotya me Kaun muskuraya hai
Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa
Lekin mere Aaqa (Salla’lahu Alayhi Wa’Sallam) ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai
Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki
Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai
Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain
Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai
Wa d-Duha (Salla’lahu Alayhi Wa’Sallam) ka Chehra hai, Taha (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka Sehra hai
Unke muskurane se zamana jagmagaya hai
Do jahaan ke Wali (Salla’llahu Alayhi Wa’Sallam) ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai