Mahirul QadriNaat Lyrics

Sehar Ka Waqt Hai Masoom Kaliyan Muskuraati Hain – Lyrics

Sehar Ka Waqt Hai Masoom Kaliyan Muskuraati Hain

Lyrics in Urdu

 

شاعر: ماہر القادری

 

سحر کا وقت ہے معصوم کلیاں مسکراتی ہیں
ہوائیں خیر مقدم کے ترانے گنگناتی ہیں

مئے عشرت چھلکتی ہے ستاروں کے کٹوروں سے
ابلتی ہے شراب خلد مٹی کے سکوروں سے

پسینہ شادمانی سے ہے پھولوں کی جبینوں پر
بطوں کا دیدنی ہے رقص تالابوں کے سینوں پر

چمن میں ہر طرف شبنم کے موتی جھلملاتے ہیں
نسیم صبح کے جھونکے دلوں کو گدگداتے ہیں

کبھی جاتی ہے آنکھوں میں گل و لالہ کی رعنائی
کہ جیسے در حقیقت خاک پر جنت اتر آئی

لٹاتے ہیں در خوش آب گلزاروں کے فوارے
خوشی سے جگمگاتے ہیں ثوابت ہوں کہ سیارے

بہار شبنم گل چور ہے کیف جوانی میں
نہا کر جیسے آئی ہے ابھی کوثر کے پانی میں

بھلائی کا اجالا اپنے مرکز پر سمٹ آیا
شباب رفتۂ عالم پلٹ آیا پلٹ آیا

خوشی کے گیت گائے جا رہے ہیں آسمانوں پر
درودوں کے ترانے ہیں فرشتوں کی زبانوں پر

سجائی جا رہی ہے محفل ہستی قرینے سے
وہ جلوے کار فرما ہیں گزر جائیں جو سینے سے

طرب کے جوش سے ایک ایک ذرہ مسکراتا ہے
زمیں کی آج قسمت پر فلک کو رشک آتا ہے

زمیں سے آسماں تک نور کی بارش ہی بارش ہے
کسی کی بے نیازی آج سرگرم نوازش ہے

ستاروں کے کنول جلوہ فگن رنگین و سادہ ہیں
فرشتے بہر استقبال ہر سو ایستادہ ہیں

اشارے ہو رہے ہیں گلشن جنت کے پھولوں میں
وہ رعنائی نظر آتی ہے مکہ کی ببولوں میں

برستے ہیں گہر انوار کے میزاب رحمت سے
کبوتر رقص میں ہیں بام کعبہ پر مسرت سے

ستارا اوج پر ہے سنگ اسود کی سیاہی کا
کہ جیسے بھید کھل جائے کسی کی بے گناہی کا

مسرت کے اثر سے مثل صبح خلد ہیں خنداں
حرم کے در منا کی وادیاں عرفات کا میداں

ازل کی صبح آئی جلوۂ شام ابد بن کر
کیا ہستی کے محور پر جہاں نے آخری چکر

زمانہ کی فضا میں انقلاب آخری آیا
نچھاور کر دیا قدرت نے سب فطرت کا سرمایا

ابھی جبریل اترے بھی نہ تھے کعبہ کے منبر سے
کہ اتنے میں صدا آئی یہ عبداللہ کے گھر سے

مبارک ہو شہ ہر دوسرا تشریف لے آئے
مبارک ہو محمدؐ مصطفیٰؐ تشریف لے آئے

مبارک غم گسار بے کساں تشریف لے آئے
مبارک ہو شفیع عاصیاں تشریف لے آئے

مبارک ہو نبیٔ آخری تشریف لے آئے
مبارک ہو جہاں کی روشنی تشریف لے آئے

مبارک مظہر شان احد تشریف لے آئے
مبارک فاتح بدر و احد تشریف لے آئے

مبارک ہادی دین مبیں تشریف لے آئے
مبارک رحمت اللعالمیں تشریف لے آئے

مبارک ہو شہ کون و مکاں تشریف لے آئے
مبارک وجہ تخلیق جہاں تشریف لے آئے

مبارک رہبروں کے پیشوا تشریف لے آئے
مبارک شمع بزم انبیا تشریف لے آئے

مبارک دستگیر بینوا تشریف لے آئے
مبارک درد مندوں کی دوا تشریف لے آئے

مبارک مخبر صادق لقب تشریف لے آئے
مبارک سید والا نسب تشریف لے آئے

مبارک چشمۂ صدق و صفا تشریف لے آئے
مبارک محبط وحیٔ خدا تشریف لے آئے

مبارک عرش کے مسند نشیں تشریف لے آئے
مبارک بزم خلوت کے مکیں تشریف لے آئے

مبارک خاتم پیغمبراں تشریف لے آئے
مبارک ہو امیر کارواں تشریف لے آئے

مبارک زندگی کا مدعا تشریف لے آئے
مبارک ہو کہ محبوب خدا تشریف لے آئے

مبارک پیکر و رضا تشریف لے آئے
مبارک جد شاہ کربلا تشریف لے آئے

مبارک قبلۂ ارباب دیں تشریف لے آئے
مبارک صادق الوعد و امیں تشریف لے آئے

مبارک صبح کو شمس الضحیٰ تشریف لے آئے
مبارک رات کو بدرالدجیٰ تشریف لے آئے

مبارک کاشف اسرار حق تشریف لے آئے
مبارک مظہر انوار حق تشریف لے آئے

مبارک دافع رنج و الم تشریف لے آئے
مبارک صاحب جود و کرم تشریف لے آئے

مبارک ہو رسول محتشم تشریف لے آئے
مبارک ہو نبی محترم تشریف لے آئے

مبارک قاسم خلد و جناں تشریف لے آئے
حریم قدس کے ساکن کہاں تشریف لے آئے

وہ آئے جن کے آنے کی زمانہ کو ضرورت تھی
وہ آئے جن کی آمد کے لئے بے چپن فطرت تھی

وہ آئے نغمۂ داؤد میں جن کا ترانہ تھا
وہ آئے گریہ یعقوب میں جن کا فسانہ تھا

وہ آئے مہر عالم تاب تھا جن کا حسیں چہرا
وہ آئے جن کے ماتھے پر شفاعت کا بندھا صحرا

وہ آئے جن پہ حق کے فضل کی تکمیل ہونی تھی
وہ آئے جن کے ہاتھوں کفر کی تذلیل ہونی تھی

وہ آئے جن کی خاطر مضطرب تھی وادیٔ بطحا
وہ آئے جن کے قدموں کے لئے کعبہ ترستا تھا

وہ آئے جن کی ٹھوکر پر نچھاور سطوت دارا
وہ آئے جن کے آگے سرد ہر باطل کا انگارا

وہ آئے جن کی آمد ظلم کو پیغام بربادی
وہ آئے جن کا آنا دہر کو اعلان آزادی

وہ آئے جن کا آنا باعث الطاف یزداں تھا
وہ آئے جن کی پیشانی کا ہر خط شرح قرآں تھا

وہ آئے جن کو حق نے گود میں خلوت کی پالا تھا
وہ آئے جن کے دم سے عرش اعظم پر اجالا تھا

وہ آئے جن کو ابراہیم کا نور نظر کہئے
وہ آئے جن کو اسماعیل کا لخت جگر کہئے

وہ آئے جن کے آنے کو گلستاں کی سحر کہئے
وہ آئے جن کو ختم الانبیا خیر البشر کہئے

وہ آئے جن کے ہر نقش قدم کو رہنما کہئے
وہ آئے جن کے فرمانے کو فرمان خدا کہئے

وہ آئے جن کو راز کن فکاں کا پردہ در کہئے
وہ آئے جن کو حق کا آخری پیغامبر کہئے

Lyrics in Roman

 

Sehar Ka Waqt Hai Masoom Kaliyan Muskuraati Hain
Hawaen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunaati Hain

Mai-e-Ishrat Chhalakti Hai Sitaron Ke Katoron Se
Ubalti Hai Sharab-E-Khuld Mitti Ke Sakoron Se

Pasina Shadmani Se Hai Phoolon Ki Jabinon Par
Batton Ka Deedni Hai Raqs Talabon Ke Seeno Par

Chaman Mein Har Taraf Shabnam Ke Moti Jhilmilate Hain
Naseem-E-Subah Ke Jhonke Dilon Ko Gadgadate Hain

Kabhi Jati Hai Aankhon Mein Gul-O-Lala Ki Raunai
Ke Jaise Dar Haqeeqat Khaak Par Jannat Utar Aai

Lutate Hain Dar-E-Khush Aab Gulzaron Ke Fawware
Khushi Se Jagmagate Hain Sawaabit Hon Ke Siyyare

Bahaar Shabnam-E-Gul Chor Hai Kaif-E-Jawani Mein
Naha Kar Jaise Aai Hai Abhi Kausar Ke Paani Mein

Bhalai Ka Ujala Apne Markaz Par Simat Aaya
Shabaab-E-Rafte Alam Palat Aaya Palat Aaya

Khushi Ke Geet Gaye Ja Rahe Hain Aasmanon Par
Duroodon Ke Tarane Hain Farishton Ki Zabanon Par

Sajai Ja Rahi Hai Mehfil-E-Hasti Qareene Se
Wo Jalwe Karfarma Hain Guzar Jayein Jo Seene Se

Tarab Ke Josh Se Ek Ek Zarra Muskuraata Hai
Zameen Ki Aaj Qismat Par Falak Ko Rashk Aata Hai

Zameen Se Aasmaan Tak Noor Ki Barish Hi Barish Hai
Kisi Ki Be-Niazi Aaj Sargarm-E-Nawaazish Hai

Sitaron Ke Kanwal Jalwe Fagan Rangeen O Saada Hain
Farishtay Behar Isteqbaal Har Soo Istaada Hain

Ishare Ho Rahe Hain Gulshan-E-Jannat Ke Phoolon Mein
Wo Raunaai Nazar Aati Hai Makka Ki Baboolon Mein

Baraste Hain Gohar Anwar Ke Mizab-E-Rehmat Se
Kabootar Raqs Mein Hain Baam-E-Kaaba Par Musarrat Se

Sitara Ouj Par Hai Sang-E-Aswad Ki Siyahi Ka
Ke Jaise Bhed Khul Jaye Kisi Ki Be-Gunahi Ka

Musarrat Ke Asar Se Misl-E-Subah Khuld Hain Khandan
Haram Ke Dar, Mina Ki Waadiyan, Arafat Ka Maidan

Azal Ki Subah Aai Jalwa-E-Shaam-E-Abad Ban Kar
Kya Hasti Ke Mehwar Par Jahan Ne Aakhri Chakkar

Zamana Ki Faza Mein Inqilab Aakhri Aaya
Nichaawar Kar Diya Qudrat Ne Sab Fitrat Ka Sarmaya

Abhi Jibreel Utre Bhi Na The Kaaba Ke Minbar Se
Ke Itne Mein Sada Aai Ye Abdullah Ke Ghar Se

Mubarak Ho Shah-E-Har Dauran Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Muhammad Mustafa ﷺ Tashreef Le Aaye

Mubarak Ghamgusaar Be-Kasaan Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Shafi’-E-Aasiyan Tashreef Le Aaye

Mubarak Ho Nabi-E-Aakhri Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Jahan Ki Roshni Tashreef Le Aaye

Mubarak Mazhar-E-Shaan-E-Ahad Tashreef Le Aaye
Mubarak Faateh-E-Badr O Uhud Tashreef Le Aaye

Mubarak Haadi-E-Deen-E-Mubeen Tashreef Le Aaye
Mubarak Rahmat-ul-Lil-Aalameen Tashreef Le Aaye

Mubarak Ho Shah-E-Kon-O-Makaan Tashreef Le Aaye
Mubarak Wajh-E-Takhleeq-E-Jahan Tashreef Le Aaye

Mubarak Rahbaron Ke Peshwa Tashreef Le Aaye
Mubarak Shama-E-Bazm-E-Anbiya Tashreef Le Aaye

Mubarak Dastgir Be-Nawa Tashreef Le Aaye
Mubarak Dard-Mandon Ki Dawa Tashreef Le Aaye

Mubarak Mukbir-E-Sadiq Laqab Tashreef Le Aaye
Mubarak Syed-E-Wala Nasab Tashreef Le Aaye

Mubarak Chashma-E-Sidq O Safa Tashreef Le Aaye
Mubarak Mahbat-E-Wahi Khuda Tashreef Le Aaye

Mubarak Arsh Ke Masnad Nasheen Tashreef Le Aaye
Mubarak Bazm-E-Khalwat Ke Makeen Tashreef Le Aaye

Mubarak Khatam-E-Peghambaran Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Ameer-E-Kaarwan Tashreef Le Aaye

Mubarak Zindagi Ka Mad’wa Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Ke Mehboob-E-Khuda Tashreef Le Aaye

Mubarak Paikar-E-Raza Tashreef Le Aaye
Mubarak Jadd-E-Shah-E-Karbala Tashreef Le Aaye

Mubarak Qibla-E-Arbab-E-Deen Tashreef Le Aaye
Mubarak Sadiq-ul-Waadah Wa Ameen Tashreef Le Aaye

Mubarak Subah Ko Shams-ud-Duha Tashreef Le Aaye
Mubarak Raat Ko Badr-ud-Duja Tashreef Le Aaye

Mubarak Kaashif-E-Asraar-E-Haq Tashreef Le Aaye
Mubarak Mazhar-E-Anwaar-E-Haq Tashreef Le Aaye

Mubarak Daf’ae Ranj-O-Alam Tashreef Le Aaye
Mubarak Sahib-E-Jood-O-Karam Tashreef Le Aaye

Mubarak Ho Rasool-E-Mohtasham Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Nabi-E-Mohtaram Tashreef Le Aaye

Mubarak Qasim-E-Khuld-O-Janan Tashreef Le Aaye
Hareem-E-Quds Ke Saakin Kahan Tashreef Le Aaye

Wo Aaye Jin Ke Aane Ki Zamana Ko Zarurat Thi
Wo Aaye Jin Ki Aamad Ke Liye Be-Chayn Fitrat Thi

Wo Aaye Naghma-E-Daud Mein Jin Ka Tarana Tha
Wo Aaye Giriya-E-Yaqub Mein Jin Ka Fasana Tha

Wo Aaye Mehr-E-Aalam Taab Tha Jin Ka Haseen Chehra
Wo Aaye Jin Ke Mathay Par Shafa’at Ka Bandha Sahara

Wo Aaye Jin Pe Haq Ke Fazl Ki Takmeel Honi Thi
Wo Aaye Jin Ke Haathon Kufr Ki Tazleel Honi Thi

Wo Aaye Jin Ki Khaatir Muztarib Thi Waadi-E-Batha
Wo Aaye Jin Ke Kadmon Ke Liye Kaaba Tarasta Tha

Wo Aaye Jin Ki Thokar Par Nichaawar Sautat-E-Dara
Wo Aaye Jin Ke Aage Sard Har Baatil Ka Angara

Wo Aaye Jin Ki Aamad Zulm Ko Paigham-E-Barbadi
Wo Aaye Jin Ka Aana Dahr Ko Ailan-E-Azadi

Wo Aaye Jin Ka Aana Baais-E-Altaf-E-Yazdan Tha
Wo Aaye Jin Ki Peshani Ka Har Khat Sharah-E-Quran Tha

Wo Aaye Jin Ko Haq Ne God Mein Khalwat Ke Pala Tha
Wo Aaye Jin Ke Dam Se Arsh-E-Azam Par Ujala Tha

Wo Aaye Jin Ko Ibrahim Ka Noor-E-Nazar Kahiye
Wo Aaye Jin Ko Ismail Ka Lakhte Jigar Kahiye

Wo Aaye Jin Ke Aane Ko Gulistan Ki Sehar Kahiye
Wo Aaye Jin Ko Khatm-ul-Anbiya Khair-ul-Bashar Kahiye

Wo Aaye Jin Ke Har Naqsh-E-Qadam Ko Rehnuma Kahiye
Wo Aaye Jin Ke Farmane Ko Farman-E-Khuda Kahiye

Wo Aaye Jin Ko Raaz-E-Kun Fakan Ka Parda Dar Kahiye
Wo Aaye Jin Ko Haq Ka Aakhri Paighamber Kahiye

 

Read More Naat Lyrics:

Sehar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyaan Muskurati Thin
(Mehmood-ul-Hassan Ashrafi)

Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain – Naat Lyrics in Urdu
Sabse Aula o Aala Hamara Nabi ﷺ | Naat Lryics

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
10 Easy Ways To Ask for Forgiveness 20 Best Times For Dua 🤲 Huge Rewards In Just 2 Minutes. RECITE THIS AFTER SALAH 7 WAYS TO INCREASE RIZQ Wipe Away Major And Minor Sins. Inspirational Islamic Quotes for Daily Life! Friendship Quotes for Muslims – Islamic Friendship Quotes [Web Story] Takbir Al Tashreeq – اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ Talbiyah: Labaik Allahumma Labbaik | لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ