Naimatain Baant’ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya – Naat Lyrics
Naimatain Baant’ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya
Naimatain Baant’ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya
Saath Hii Munshi-E-Rahmat Ka Qalamdaan Gaya
Lay Khabr Jald Kay Ghairon Kii Taraf Dhayaan Gaya
Mere Mawla, Mere Aaqa, Tere Qurbaan Gaya
Aah Woh Aankh Jo nakaame Tamanna Hi Rahi
Haye Wo Dil Jo Tere Darr Se Pur-Armaan Gaya
Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar Hai Voh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
Unhe Jaana, Unhe Maana Na Rakha Gair Se kaam
Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inaayat Na Sahi
Najdiyo Kalimah Parhaanae Ka Bhi Ehsaan Gaya
Aaj Lay Unki Panaah, Aaj Madad Maang Unsay
Phir Na Maaneinge Qayamat Mein Agar Maan Gaya
Uff Re Munkir Ye Badha Joshe Ta-assub Aakhir
Bheed Mein Haath Se Kambakht Ke Imaan Gaya
Jaan O Dil Hosh O Khird Sab Tau Madinay Paunchay
Tum Nahin Chaltay Raza Saara Tou Saamaan Gaya
Naimatain Baant’ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya
Naat Lyrics in Urdu
نعمتیں بانٹتا جس سمت وہ ذیشان گیا
ساتھ ہی منشیء رحمت کا قلمدان گیا
لے خبر جلد کہ اوروں کی طرف دھیان گیا
میرے مولیٰ مِرے آقا ترے قربان گیا
آہ وہ آنکھ کہ ناکامِ تمنّا ہی رہی
ہائے وہ دل جو تِرے در سے پُر ارمان گیا
دل ہے وہ دل جو تِری یاد سے معمور رہا
سر ہے وہ سر جو ترے قدموں پہ قربان گیا
اُنہیں جانا، اُنہیں مانا نہ رکھا غیر سے کام
للہِ الحمد میں دنیا سے مسلمان گیا
اور تم پر مِرے آقا کی عنایت نہ سہی
نجدیو! کلمہ پڑھانے کا بھی احسان گیا
آج لے اُن کی پناہ ، آج مدد مانگ ان سے
پھر نہ مانیں گے قیامت میں اگر مان گیا
اُف رے منکر یہ بڑھا جوشِ تعصب آخر
بِھیڑ میں ہاتھ سے کم بخت کے ایمان گیا
جان و دل ہوش و خرد سب تو مدینے پہنچے
تم نہیں چلتے رضا ، سارا تو سامان گیا
الشاہ امام احمد رضا خان فاضلِ بریلوی علیہ الرحمہ
Read More Naat Lyrics:
Amna BiBi Ke Gulshan Main, Ayi Hai Taza Bahaar Lyrics
Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro [Huzoor agaye hain] Lyrics
Zameen-o-Zamaan Tumhare Liye – Naat Lyrics
Mere Dil Ki Zameen Par Hai Qadam Zahra Ke Bacchon Ka – Lyrics