Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai
Naat Lyrics in Urdu
Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai
Wo Jannat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Kahaan Mai Kahaan Yeh Madine Ke Galiyaan
Yeh Qisamt Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Muhammed (Saw) Ki Azmath Ko Kya Poochte Ho
Ke Wo Sahibe Qaba Qausain Tehre
Bashar Ki Sare Arsh Mehmaan Nawazi
Yeh Azmath Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Jo Aasi Ko Kamli Me Apne Chupa Le
Jo Dushman Ko Bhi Zakhm Khakar Dua De
Use Aur Kya Naam Dega Zamana
Wo Rehmat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Qayamat Ka Ek Din Muaiyan Hai Lekin
Hamare Liye Har Nafas Hai Qayamat
Madine Se Hum Jaan Nisaraun Ki Doori
Qayamat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Tum Iqbal Yeh Naat Kehto Rahe Ho
Magar Yeh Bhi Soncha Ke Kya Kar Rahe Ho
Kahaan Tum Kahaan Madhe Mamduhe Yazdaan
Ye Jur’Rat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
Read More Naat Lyrics in Urdu:
- Sarkaar Yeh Naam Tumhara Sab Namoon Say Hai Pyara – Naat Lyrics
- Tere Haram Ki Kya Baat Maula – Tere Karam Ki Kya Baat Maula – Lyrics
- Mera Payambar Azeemtar Hai – Naat Lyrics – Muzaffar Warsi
- Nabi Ka Jashan Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna – Naat Lyrics
Follow Us:
URDU NAAT – PUNJABI NAAT – ALL NAATS
MANQABAT LYRICS
- MANQABAT-E-HAZRAT ALI (R.A)
- [MANQBAT-E-IMAM HUSSAIN (R.A)]
- MANQABAT-E-GHOUS-E-AZAM