Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya – Kalam-e-Ala’Hazrat
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya,
Humain Bheekh Maangne Ko, Tera Aastaan Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya
Tumhi Haakim-E-Baraaya, Tunmhi Qasim-E-Ataaya
Tumhi Dafae’e Balaya Tumhi Shafae’e Khataya
Koyi Tumsa Kaun Aaya
Woh Kanwari Paak Maryam, Woh Nafakhto Feehe Kaadam
Hain Ajab Nishaan-E-Aazam, Magar Amina Ka Jaaya
Wohi Sabse Afzal Aaya
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya
Yahi Bole Sidra Waale, Chaman-E-Jahan Ke Thaale
Sabhi Maine Chaan Daale Tere Paaye Ka Naa Paaya
Tujhe Yakne Yak banaya
Arey Ae Khuda Ke Bandon, Koi Mere Dil Ko Dhundho,
Mere Paas Tha Abhi To, Abhi Kya Hua Khudaya
Na Koi Gaya Na Aaya
Humko Ay Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Darr-E-Rouze Ke Muqabil Woh Hame Nazar To Aaya
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya,
Humain Bheekh Maangne Ko, Tera Aastaan Bataya
https://www.youtube.com/watch?v=GDDoDtYI2cw
More Naat Lyrics: