Wah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera – [Manqabat] Lyrics in Urdu
Wah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera
Unche, Uncho Ke Saron Se, Qadam Aala Tera
Ghause A’zam Bamane Besaro Saamaan Madade
Qiblaae Deen Madade Kaa’baaey Imaan Madade
Waah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera
Unche, Uncho Ke Saron Se, Qadam Aala Tera
Sar Bhala Kya Koi Jaane, Ke Hai Kaisa Tera
Aulia Malte Hai Aankhein Woh Hai Talwa Tera
Kya Dabe Jis Pe Himaayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Mein Laata Nahi Kutta Tera
Tu Hasani, Hussaini, Kyo(N) Na Muhyiddin Ho
Aey, Khizr Majmaaey Bahrain Hai Chash’mah Tera
Qasmain De, De Ke Khilaata Hai, Pilaata Hai Tujhe
Pyara Allah Tera Chaahne Waala Tera
Mustafa Ke Tane Besaaye Ka Saayaah Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan, Jalwaaey Zaiba Tera
Ibne Zahra Ko Mubarak Ho Uroos-e-Qudrat
Qadri Paaye Tasadduq Mere Dulha Tera
Kyu Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abul Qasim Hai
Kyu Na Qadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baba Tera
Nabawi Mein Alawi Fasl, Batooli Gulshan
Hasani Phool, Hussaini Hai Mahekna Tera
Nabavi Zil Alavi Burj Batooli Manzil
Hasani Chand Husaini Hai Ujala Tera
Saare Aqhtaabe Jahan karte Hai Kaabe Ka Tawaaf
Kaaba Karta Hai Tawaafe Dare Wala Tera
Jo Wali Qabl The ya Baad Hue Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hai Dil Me Mere Aaqa Tera
Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Aur Sag Se Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Mein Bhi Hai, Dur Ka Dauraan Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Hain, Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Mein Rahe Patta Tera
Meri Qismat Qasam Khaaey Sagaane Baghdaad
Hind Mein Bhi Hoon To Deta Rahoon Pehra Tera
“Warafa’ana Laka Zikreka” Ka Hai Saayaah Tujh Par
Bol Baala Hai Tera, Zikr Hai Uncha Tera
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrime Nakaara Sahi
Aey Woh Kaisa Hi Sahi, Hai To Karima Tera
Bad Sahi Chor Sahi Mujrim O Nakaara Sahi
Aye Wo Kaisa Hi Sahi Hai To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi
Ke Wahi Na Woh RAZA Banda E Ruswa Tera
Hain RAZA Yun Na Bilak Tu Nahi Jayyid To Na Ho
Sayyide Jayyide Har Dahar Hai Maula Tera
Fakhre Aaqa Mein Raza Aur Bhi Ek Nazm Rafi
Chal Likha Laaey Sana Khwaano Man Chehra Tera
Wah Kya Martaba Aey Ghaus Hai Baala Tera
Unche, Uncho Ke Saron Se, Qadam Aala Tera
Read More: