Tumhaare Zarre Key Par Tou Sitaar Haaye Falak

Tumhaare Zarre Key Par Tou Sitaar Haaye Falak – Naat Lyrics in Urdu

Ala-Hazrat Naat Lyrics in Urdu

Tumhaare Zarre Key Par Tou Sitaar Haaye Falak
Tumhaare na’al ki naaqis misl ziyaaye falak

Agar che chaale sitaron say par gaye laakhon
Magar tumhari talab mein thake na paaye falak

Sar-e-falak na kabhi taa ba aastaan pohoncha
Keh ibtidaaye bulandi thee intihaaye falak 

Ye mit key un ki rawish par huwa khud unki rawish,
Keh naqsh-e-paaye zameen par na soat-e-paaye falak. 

Tumhari yaad mein guzri thee jaagte shab bhar, 
Chali naseem hue band deed haaye falak. 

Na jaag uthain kahin ahl-e-baqee kuchi neend, 
Chala yeh narm na nikli sadaye paaye falak. 

Yeh un key jalwe ne keen garmiyan shab-e-asraa, 
Keh jab sey charkh mein hain naqrah-o-talaaye falak. 

Mere Ghani ne jawaahar sey bhar diya daaman, 
Gaya jo kaasa-e-mai le key shab gadaye falak. 

Raha jo qaane’ yak naan-e-sookhta din bhar, 
Mili huzoor sey kaan-e-gehr jazaye falak. 

Tajammal-e-shab-e-asraa abhi simat na chuka, 
Keh jab sey waisi hi kotal hay sabz haaye falak. 

Khitaab-e-haq bhi hay dar baab-e-khalq-min-ajalik, 
Agar idhar sey dam-e-hamd hay sadaaye falak.

Ye ahl-e-bait ki chakki sey chaal seekhi hay,
Rawaan hay be madad dast aasiya-e-falak. 

Raza ye naat-e-Nabi ne bulandiyan bakhsheen, 
Laqab zameen-e-falak ka hua samaaye falak.

Tumhaare Zarre Key Par Tou Sitaar Haaye Falak
Tumhaare na’al ki naaqis misl ziyaaye falak

Poet: Ala-Hazra Imam Ahmad Raza Khan Brelvi

COLLECTION OF NAAT LYRICS URDU NAAT – PUNJABI NAAT – ALL NAATS  MANQABAT LYRICS 

Read More:

Exit mobile version