Manqabat Lyrics in Urdu – Tera Zarra Mahe Kaamil Hai Ya Gaus
Tera zarra mahe kaamil hai Ya Gaus
Tera qatra yame saail hai Ya Gaus
Koi saalik hai ya waasil hai Ya Gaus
Woh kuch bhi ho tera saail hai Ya Gaus
Qade be-saaya zille kibriyaa hai
Tu us be saaya zil ka zil hai Ya Gaus
Teri jaageer mein hai sharq taa garb
Qalam-rav mein haram ta hil hai Ya Gaus
Dile ishqo rukhe husn aaeena hain
Aur in donon mein tera zil hai Ya Gaus
Teri sham’a dil-aaraa ki tabo taab
Gulo bulbul ki aabo gil hai Ya Gaus
Tera majnoon tera sahra tera najd
Teri laila tera mahmil hai Ya Gaus
Yeh teri champayi rangat Husaini
Hasan ke chaand subhe dil hai Ya Gaus
Gulistaan zaar teri pankhadi hai
Kali so khuld ka haasil hai Ya Gaus
Ugaal us ka udhaar abraar ka ho
Jise tera ulush haasil hai Ya Gaus
Ishaare mein kiya jisne qamar chaak
Tu us mah ka mahe kaamil hai Ya Gaus
Jise arshe duwwam kehte hain aflaak
Woh teri kursiye manzil hai Ya Gaus
Tu apne waqt ka Siddique e Akbar
Ghaniyyo Haidaro Aadil hai Ya Gaus
Wali kya mursal aayen khud Huzoor aayen
Woh teri waa’z ki mehfil hai Ya Gaus
Jise maange na paayen jaah waale
Woh bin maange tujhe haasil hai Ya Gaus
Tera Zarra Mahe Kaamil Hai Ya Gau
Fuyooze aalame ummee se tujh par
Ayaan maazi wa mustaqbil hai Ya Gaus
Jo qarnon sair mein aarif na paayen
Woh teri pehli hi manzil hai Ya Gaus
Malak mashgool hain uski sana mein
Jo tera zaakiro shaagil hai Ya Gaus
Na kyun ho teri manzil arshe saani
Ki arshe haq teri manzil hai Ya Gaus
Wahin se uble hain saaton samundar
Jo teri neher ka saahil hai Ya Gaus
Malaaik ke bashar ke jinn ke halqe
Teri zau mahe har manzil hai Ya Gaus
Bukhaara wa iraaqo chishto ajmer
Teri lau sham’ae har mehfil hai Ya Gaus
Jo tera naam le zaakir hai pyaare
Tasawwur jo kare shaagil hai Ya Gaus
Jo sar dekar tera sauda khareede
Khuda de aql woh aaqil hai Ya Gaus
Kaha tune ki jo maango milega
Raza tujhse tera saail hai Ya Gaus
Tera Zarra Mahe Kaamil Hai Ya Gaus
- APNI REHMAT KE SAMANDAR MEIN UTAR JAANE DE
- GUNAHON KI ADAT CHURAH MERE MAULA LYRICS
- IMDAD KUN IMDAD KUN YA GHAUS E AZAM DASTAGHEER
- KHUDA KI AZMATAIN KYA HAIN MUHAMMAD MUSTAFA JAANE
Read More: