Tajdar-e-Haram Ho Nigahe Karam 

Tajdar e Haram Lyrics

Naat Lyrics in Urdu

Tajdar-e-Haram Ho Nigahe Karam 

Qismat mein meri chain say jeena likh day, Dube na kabhi mera safeena likh day
Jannat to thikana hai maghae duniya mein, Aye Katib e Taqdeer, madina likh day

Tajdar e haram, ho nigah e karam, Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Hamiy e baikasan, kiya kahe ga jahan, App kay dar say khali agar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam, 

Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar, Aie quraishi la kabi hashmi o muttalabi…
Kya tumse kahoon aie Rab kay kunwar, Tum janat ho man ki battiyaan
Dar furqat toh aie ummi laqab, Kate na katath hai ab ratiyaan
Turi preet mein sudh bhud sab bisri, Kab tak ye rahegi be khabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar, Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaan

Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Koi apna nahi gham kay mare hain hum Aap kay dar pay faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, warna chokhat pe hum Aap ka naam lay lay kay marjayein gay

Tajdar e haram, nigah e karam

Maikasho aao aao madine chalein, Chashm e sakiye kosar say pinay chalein
Yaad rakho agar, uth gayi ik nazar, Jitnay khali hain sab jaam bhar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam

Khof e toofan hai, bijliyoon ka hai dar, Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Ap hi gar na lein gay, hamari khabar, Hum museebat kay mare kidhar jayein gay

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram

Kehna saba huzoor se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Phir ujdiyon ko laal de, jaan paththaron mein daal de
Haavi ho mustaqbil pe hum, maazi sa humko haal de
Daawa hai teri chaah ka, is ummat-e-gumraah ka
Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen
Ya mustafa SalleAlah, Ya Mustafa SalleAlah

Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, roz-e-jazaa Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan Paike naseem-e-sub haram
Aey charagar insanafas Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann Fi-han nabi-al-mohtaram

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Madine chalen, aao Madine chalen
Isi mahine chalen, chalo madine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram

Source: islamiclyrics.net

More Naat Lyrics:

Urdu/English Websites related to Islam. Islamic website for preaching & educating Islam, knowledge and information in the light of Quran and Sunnah.

You can find Islamic Article/Blog here in Urdu/English

islamkidunya.com

Exit mobile version