Taab-e-Miraat-e-Saher Gard-e-Bayabaan-e-Arab – Ala-Hazrat Naat Lyrics in Urdu
Taab-e-Miraat-e-Saher Gard-e-Bayabaan-e-Arab
Ghaaza-e-rooye qamar dood-e-charaaghaan-e-arab.
Allah Allah bahaar-e-chamanistaane arab,
Paak hain lauth-e-khizaan sey gul-o-rehaan-e-arab.
Joshish-e-abr sey khoon-e-gul-e-firdous kare,
Cher de rag ko agar khaar-e-bayabaan-e-arab.
Tishna-e-neher-e-jinaan har arabi-o-ajami,
Lab-e-har neher-e-jinan tishna-e-neesaane arab.
Toq-e-gham aap hawae pare qumri sey gire,
Agar aazad kare sarw-e-khuramaan-e-arab.
Meher-e-meezan mein chupa ho to hamal mein chamke,
Dale ek boond shabe de mein jo baaraan-e-arab.
Arsh sey muzda-e-bilqees-e-shafa’at laaya,
Taair-e-sidrah nasheen murgh-e-sulemaan-e-arab.
Husn-e-Yusuf pe kateen misr mein angasht-e-zanaan,
Sar kataate hain tere naam pe mardaan-e-arab.
Koocha koocha mein mahekti hay yahaan boo–-e-qamees,
Yusufistaan hay har ek gosha-e-kan’aan-e-arab.
Bazm-e-qudsi mein hay yaad-e-lab-e-jaan bakhsh Huzoor,
Aalam-e-Noor mein hay chashma-e-haywaan-e-arab.
Paayay Jibreel ne Sarkaar sey kya kya alqaab,
Khusr-o-khail-e-malak khaadim-e-sultan-e-arab.
Bulbul-o-nilpar-o-kabak bano parwaano,
Meh-o-khursheed pe hanste hain charaghaan-e-arab.
Hoor sey kya kahein Moosa sey magar arz karein,
Ke hay khud husn-e-azal taalib-e-jaanaan-e-arab.
Karam-e-naat-key nazdeek to kuch door nahin,
Ke RAZA-e-ajami ho sag-e- Hassaan-e-arab.
Taab-e-Miraat-e-Saher Gard-e-Bayabaan-e-Arab
Ghaaza-e-rooye qamar dood-e-charaaghaan-e-arab.
Poet: Ala-Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Brelvi R.a
https://www.youtube.com/watch?v=AkSZdtsbBzo
More Naat Lyrics