Sarkaar e Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara – Manqabat
Sarkaar e Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara
Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara
Sarkaar e Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara
Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai
Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara
Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara
Sarkaar e Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara
Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai
Mera Bajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara
Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara
Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna
Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara
Sarkaar-e-Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara