Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics – Hafiz Tahir Qadri
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye
Taiba Ke Jaane Wale, Jakar Bade Adab Se
Mera Bhi Qissa E Gham, Kehna Shah E Arab Se
Kehna Ke Shah-E-Aalam, Ek Ranjo Ghum Ka Maara
Dono Jahaan Mein Jiska Hain Aap Hi Sahara
Haalaat E Pur Alam Se, Iss Dum Guzar Raha Hai
Or Kaampte Labon Se Fariyaad Kar Raha Hai
Paaye Gunaah Apna Hai Dosh Par Uthaye
Koi Nahi Hai Esa Jo Puchne Ko Aaye
Bhula Hua Musafir Manzil Ko Dhoondta Hai
Taarikiyo Ko Maah-E-Kaamil Ko Dhoondta Hai
Seene Mein Hai Andhera, Dil Hai Siyaah Khana
Yeh Hai Meri Kahaani Sarkar Ko Sunana
Kehna Mere Nabi Se Mehroom Hu Khushi Se
Kehna Mere Nabi Se Mehroom Hu Khushi Se
Sarwar Qabr-E-Ghum Hai, Ashkon Se Aankh Nam Hai
Paamaal-E-Zindgi Hoon, Sarkar Ummati Hoon
Ummat Ke Rehnuma Ho, Kuch Arz-E-Haal Sun Lo
Fariyaad Kar Raha Hoon, Main Dil Figaar Kab Se
Mera Bhi Qissa-e-Ghum Kehna Shah-e-Arab Se
Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye
Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye
Mera Dil Tadap Raha Hai, Mera Jal Raha Hai Seena
Ke Dawaa Wahi Milegi, Mujhe Le Chalo Madina
Nahi Maal-O-Zar To Kya Hai, Main Garib Hoon Yahi Na
Mere Ishq Mujhko Le Chal, Tu Hi Janib-E-Madina
Aaqa Na Toot Jaye, Ye Dil Ka Aabghina
Ab Ke Baras Bhi Maula, Reh Jaoon Main Kahin Na
Dil Ro Raha Hai Jin Ka, Aansoo Chalak Rahe Hain
Un Aashiqon Ka Sadqa Bulwayiye Madina
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Madine Jaaoon Phir Aaoon Dobara Phir Jaaoon
Yeh Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye
Ae Aazam-E-Madina Jaakar Nabi Se Kehna
Soze Gham E Alam Se Ab Jal Raha Hai Seena
Kehna Ke Badh Rahi Hai Ab Dil Ki Iztraabi
Qadmo Se Door Hoon Mein Qismat Ki Hai Kharaabi
Kehna Ke Dil Main Mere Armaan Bhare Huwe Hai
Kehna K Hasraton Ke Nashtar Choobe Huwe Hai
Hain Aarzoo Yeh Dil Ki, Mein Bhi Madine Jaoon
Sultan-e-Do Jahaan Ko Daagh-e-Jigar Dikhaoon
Kaatoon Hazaar Chakkar Taiba Ki Har Gali Ke
Yunhi Guzaar Doon Mein Ayyaam Zindgi Ke
Phoolon Pe Jaan Nisaaroon, Kaanton Pe Dil Ko Waaroon
Zarron Ko Doon Salaami, Dar Ki Karoon Ghulami
Deewar-o-Dar Ko Choomoon, Chokhat Pe Sar Ko Rakh Doon
Roze Ko Dekh Kar Main Rota Rahoon Baraabar
Aalam Ke Dil Mein Hai Yeh Hashrat Najaane Kab Se
Hum Sab Ke Dil Mein Hai Yeh Hashrat Najaane Kab Se
Mera Bhi Qissa-e-Ghum Kehna Shah-e-Arab Se
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye
Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga Wahi Thikaana Sarkar Ki Gali Mein
Dil Mein Nabi Ki Yaadein, Lab Par Nabi Ki Naatein
Jaana To Aise Jaana Sarkar Ki Gali Mein
Ya Mustafa Khudara Do Izn Haazri Ka
Kar Loon Nazaara Aakar Main Aap Ki Gali Ka
Ek Baar To Dikha Do Ramzan Mein Madina
Iss Baar To Dikha Do Ramzan Mein Madina
Aaqa Hamein Dikha Do Ramzan Mein Madina
Beshak Bana Lo Aaqa Mehman Do Ghadi Ka
Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madine Mein Shaam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye
Bula Lo Na Bula Lo Na
Aaqa Aaqa Aaqa
Naat Lyrics: Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics
Naat Khawan: Hafiz Tahir Qadri
Source: www.sherekhudahazratali.com
Read More:
- ARSHE HAQ HAI MUSNADE RIF’AT RASOOLULLAH KI
- DEEWANE JO WI MANGDE NE, SHAH-E-ABRAR DENDE NE LYRICS
- JANNAT MEIN LAY KAY JAEY GHI CHAHAT RASOOL KI LYRICS
- LAB PER NAAT-E-PAK KA NAGHMA KAL BHI THA AUR AAJ BHI HAI
Follow Us: