Naat Lyrics

Rab Ne Diya Hai Unko, Main Un Sey Maangta Hoon

Rab Ne Diya Hai Unko, Main Un Sey Maangta Hoon – Lyrics in Urdu

Rab ne diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab ne diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

https://www.youtube.com/watch?v=Gx_xQDTvHuk

COLLECTION OF NAAT LYRICS

Islamic Quotes in Urdu | Life Quotes in Urdu | Inspirational & Life Changing Islamic Quotes in Urdu

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision Islamic Duas! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! SABR.. Beautiful. Masha’Allah ❤ Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤
Duas to Increase Rizq & Wealth | Duas for Provision 4 Promises that ALLAH Made in Holy Quran! Recite this 100 Times a day! Easy Dhikr! Islamic Duas! Beautiful Masjid Al Haram Makkah ❤ Allahumma innaka `afuwwun tuhibbul `afwa fa`fu `annee